Gale Mein Laal Taai Lyrics - Hum Tumhare Hain Sanam


Gale Mein Laal Taai Lyrics from Hum Tumhare Hain Sanam is Hindi song sung by Bela Sulakhe, Kumar Sanu and music is given by Bappi Lahiri. Gale Mein Laal Taai song lyrics are written by Maya Govind. Hum Tumhare Hain Sanam is a 2002 Hindi movie starring Shahrukh Khan, Madhuri Dixit and Salman Khan.

Gale Mein Laal Taai Lyrics - Hum Tumhare Hain Sanam

Gale Mein Laal Taai Song Detail


Song: Gale Mein Laal Taai
Album: Hum Tumhare Hain Sanam (2002)
Singer: Bela Sulakhe, Kumar Sanu
Musician: Bappi Lahiri
Lyricist: Maya Govind
Star Cast: Shahrukh Khan, Madhuri Dixit, Salman Khan etc.

Gale Mein Laal Taai Lyrics

Saiyan re saiyan oh more saiyan
Aake gale lag ja
Saiyan re saiyan oh more saiyan
Aake gale lag ja
Saiyan re saiyan oh more saiyan
Aake gale lag ja ja ja ja

Gale mein laal taai
Ghar mein ek charpayi
Takiya ek hai aur hum do
Ek hi hai razayi

Sardi kaisi jayegi
Kaho kaise humein neend aayegi
Sardi kaisi jayegi
Kaho kaise humein neend aayegi

Gale mein laal taai
Ghar mein ek charpayi
Takiye ki fikar na kar
Banunga main khud razayi

Gale se laga loonga
Hothon se coffee pila doonga
Arre gale se laga loonga
Hothon se coffee pila doonga

Saari duniya chain se soye
Hum dono baaton mein khoye
Tumse main darti hoon
Koyi harkat na karo
Ek hai shart meri
Tum shararat na karo

Haaye yeh paseena kyun
Aa gaya hai humdum
Na to kuchh socho tum
Na to kuchh sochein hum

Lage charpayi mein
Kahin ek khatmal hai
Tang mujhe karta hai
Tan mein khal bal hai
Dushman khatmal ko
Tujhse mohabbat hai
Jahan chahe ghoomega
Haaye kya kismat hai

Abhi use dhoond kar main
Tagdi saza doonga
Abhi use dhoond kar main
Tagdi saza doonga

Gale mein laal taai
Ghar mein ek charpayi
Takiya ek hai aur hum do
Ek hi hai razayi

Sardi kaisi jayegi
Kaho kaise humein neend aayegi
Arre gale se laga loonga
Hothon se coffee pila doonga

Khidki ke main parde gira doon
Tum keh do to batti bujha doon
Arre baba na re na batti na bujha dena
Waqt ka pata nahi kuchh na ho jaye kahin

Khata hoon sar ki kasam
Zyada na chedoonga
Is sharafat ke liye
Ek chumma loonga

Haaye kismat phooti kisko laad kiya
Aise besabre se maine kyun pyaar kiya
Ab to majboori hai yeh gadi aayi hai
Sath sona hi pade ek charpayi hai
Tere bharose ko kabhi na daga doonga samjhi
Tere bharose ko kabhi na daga doonga

Gale mein laal taai
Ghar mein ek charpayi
Takiya ek hai aur hum do
Ek hi hai razayi

Sardi kaisi jayegi
Kaho kaise humein neend aayegi
Haan gale se laga loonga
Hothon se coffee pila doonga haan