Tumhara Chahne Wala Lyrics - Kahin Din Kahin Raat


Tumhara Chahne Wala Lyrics from Kahin Din Kahin Raat is Hindi song sung by Mahendra Kapoor. Tumhara Chahne Wala song lyrics are written by S H Bihari, its music is given by O P Nayyar. Kahin Din Kahin Raat is a 1968 Hindi movie starring Biswajeet, Sapna and Helen.

Tumhara Chahne Wala Lyrics - Kahin Din Kahin Raat

Tumhara Chahne Wala Song Detail


Song: Tumhara Chahne Wala
Album: Kahin Din Kahin Raat (1968)
Singer: Mahendra Kapoor
Musician: O. P. Nayyar
Lyricist: S. H. Bihari
Star Cast: Biswajeet, Sapna, Helen etc.

Tumhara Chahne Wala Lyrics

Tumhara chahne wala khuda ki duniya mein
Mere siwa bhi koyi aur ho khuda na kare
Tumhara chahne wala khuda ki duniya mein
Mere siwa bhi koyi aur ho khuda na kare
Tumhara chahne wala

Yeh baat kaise ganwara karega dil mera
Tumhara zikra kisi aur ki zubaan pe ho
Tumhare husn ki taareef aaina bhi kare
To main tumhari kasam hai ke tod doon usko

Tumhare pyaar tumhari ada ka deewana

Mere siwa bhi koyi aur ho khuda na kare
Tumhara chahne wala khuda ki duniya mein

Woh din na aaye ke mujhse kabhi juda hokar
Kisi ka pyaar dobara kahin talaash karo
Jhuka ke sar ko kisi ajnabi ke shaano par
Tum apne gham ka sahara kahin talaash karo

Kareeb dil ke tumhare kisi bhi haalat mein
Mere siwa bhi koyi aur ho khuda na kare
Tumhara chahne wala khuda ki duniya mein

Tumhare dil ko kabhi mujhse koyi thes lage
Mujhe yakeen hai aisa kabhi nahi hoga
Mujhe wafaon pe apni bada bharosa hai Tumhara pyaar hi de jaaye na kahin dhokha

Dua yeh hai ke tumhara khuda ki duniya mein
Mere siwa bhi koyi aur ho khuda na kare
Tumhara chahne wala khuda ki duniya mein
Mere siwa bhi koyi aur ho khuda na kare