Qamar Patli Nazar Bijli Lyrics - Kahin Din Kahin Raat


Qamar Patli Nazar Bijli Lyrics from Kahin Din Kahin Raat is Hindi song sung by Mahendra Kapoor. Qamar Patli Nazar Bijli song lyrics are written by S H Bihari, its music is given by O P Nayyar. Kahin Din Kahin Raat is a 1968 Hindi movie starring Biswajeet, Sapna and Helen.

Qamar Patli Nazar Bijli Lyrics - Kahin Din Kahin Raat

Qamar Patli Nazar Bijli Song Detail


Song: Qamar Patli Nazar Bijli
Album: Kahin Din Kahin Raat (1968)
Singer: Mahendra Kapoor
Musician: O. P. Nayyar
Lyricist: S. H. Bihari
Star Cast: Biswajeet, Sapna, Helen etc.

Qamar Patli Nazar Bijli Lyrics

Qamar patli nazar bijli
Surahidaar gardan
Qayamat se meri jaan kam nahi ho

Qamar patli nazar bijli
Surahidaar gardan
Qayamat se meri jaan kam nahi ho

Yeh zulfon ki ghata kaali
Machalta jaise saawan
Qayamat se meri jaan kam nahi ho
Qamar patli

Badan aisa hai chikna ke
Phisalti hai nigahein
Tadap jaata hai dil apna
Chamakti hain jo baahein

Zameen jhoome kadam choome
Jawani ka aalam
Tumhi keh do ke aise mein
Tumhein kaise na chahein

Kareeb aakar kabhi sun lo
Hamare dil ki dhadkan
Qayamat se meri jaan kam nahi ho

Qamar patli nazar bijli Surahidaar gardan
Qayamat se meri jaan kam nahi ho
Qamar patli

Nazar jiski padi tum par
Kaleja thaam lega
Ishaara tum jise kar do
Woh kab aaram lega

Magar mujhse tumhein dilbar
Koyi sikwa na hoga
Mera dil hai yeh lutkar bhi
Tumhara naam lega

Na chhootega kabhi mujhse
Wafa ka paak daaman
Qayamat se meri jaan kam nahi ho

Qamar patli nazar bijli
Surahidaar gardan
Qayamat se meri jaan kam nahi ho

Yeh zulfon ki ghata kaali
Machalta jaise saawan
Qayamat se meri jaan kam nahi ho