Khuli Palak Mein Jhoota Gussa Lyrics - Professor


Khuli Palak Mein Jhoota Gussa Lyrics from Professor is Hindi song sung by Mohammed Rafi and music is given by Shankar Jaikishan. Khuli Palak Mein Jhoota Gussa song lyrics are written by Shailendra. Professor is a 1962 Hindi movie starring Shammi Kapoor, Kalpana Mohan and Lalita Pawar.

Khuli Palak Mein Jhoota Gussa Lyrics - Professor

Khuli Palak Mein Jhoota Gussa Song Detail


Song: Khuli Palak Mein Jhoota Gussa
Album: Professor (1962)
Singer: Mohammed Rafi
Musician: Shankar Jaikishan
Lyricist: Shailendra
Star Cast: Shammi Kapoor, Kalpana Mohan, Lalita Pawar etc.

Khuli Palak Mein Jhoota Gussa Lyrics

Zara thehro zara thehro
Sada mere dil ki zara sunte jaana

Khuli palak mein jhoota gussa
Band palak mein pyaar
Jeena bhi mushkil marna bhi mushkil
Aankhon mein ikraar ki jhalki
Honthon pe inkaar
Jeena bhi mushkil hoye marna bhi mushkil

Jis din se dekha tumko
Tum lage mujhe apne se

Aur aate rahe aankhon mein haaye
Aur aate rahe aankhon mein
Ek manchahe sapne se

Samajh na aaye kya jeeta main
Aur gaya kya haar
Jeena bhi mushkil marna bhi mushkil
Khuli palak mein jhoota gussa
Band palak mein pyaar
Jeena bhi mushkil hoye marna bhi mushkil

Tum pyaar chhupa ke haare
Main pyaar jata ke haara
Ab to saari duniya pe hoye Ab to saari duniya pe
Zaahir hai haal hamara

Pahunch ke is manzil pe lautna
Ab to hai dushwar
Jeena bhi mushkil marna bhi mushkil
Khuli palak mein jhoota gussa
Band palak mein pyaar
Jeena bhi mushkil hoye marna bhi mushkil

Ise meri baat na samjho
Kya banta hai baat bana ke
Kuchh kehna tha mere dil ka haaye
Kuchh kehna tha mere dil ka
Jaata hoon wahi dohra ke

Na ho yakeen to padhkar dekho
Aankhon mein ik baar
Jeena bhi mushkil marna bhi mushkil

Khuli palak mein jhoota gussa
Band palak mein pyaar
Jeena bhi mushkil marna bhi mushkil
Aankhon mein ikraar ki jhalki
Honthon pe inkaar
Jeena bhi mushkil hoye marna bhi mushkil
Jeena bhi mushkil marna bhi mushkil