Waqt Se Din Aur Raat Lyrics - Waqt


Waqt Se Din Aur Raat Lyrics from Waqt is Hindi song sung by Mohammed Rafi. Waqt Se Din Aur Raat song lyrics are written by Sahir Ludhianvi, its music is given by Ravi. Waqt is a 1965 Hindi movie starring Sunil Dutt, Sadhana and Raaj Kumar.

Waqt Se Din Aur Raat Lyrics - Waqt

Waqt Se Din Aur Raat Song Detail


Song: Waqt Se Din Aur Raat
Album: Waqt (1965)
Singer: Mohammed Rafi
Musician: Ravi
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Star Cast: Sunil Dutt, Sadhana, Raaj Kumar etc.

Waqt Se Din Aur Raat Lyrics

Kal jahaan basti thi khushiyan
Aaj hai maatam wahan
Waqt laaya tha bahaarein
Waqt laaya hai khizan

Waqt se din aur raat
Waqt se kal aur aaj
Waqt ki har shai ghulam
Waqt ka har shai pe raj

Waqt se din aur raat
Waqt se kal aur aaj

Waqt ki har shai ghulam
Waqt ka har shai pe raj

Waqt ki gardish se hai
Chaand taaron ka nizaam
Waqt ki gardish se hai
Chaand taaron ka nizaam
Waqt ki thokar mein hai
Kya hukumat ka samaj
Kya hukumat ka samaj

Waqt se din aur raat
Waqt se kal aur aaj
Waqt ki har shai ghulam Waqt ka har shai pe raj

Waqt ki paband hain
Aati jaati raunakein
Waqt ki paband hain
Aati jaati raunakein
Waqt hai phoolon ki sej
Waqt hai kaanton ka taj
Waqt hai kaanton ka taj

Waqt se din aur raat
Waqt se kal aur aaj
Waqt ki har shai ghulam
Waqt ka har shai pe raj

Aadmi ko chahiye
Waqt se dar kar rahe
Aadmi ko chahiye
Waqt se dar kar rahe
Kaun jaane kis ghadi
Waqt ka badle mizaaj
Waqt ka badle mizaaj

Waqt se din aur raat
Waqt se kal aur aaj
Waqt ki har shai ghulam
Waqt ka har shai pe raj