Tum Sochti Ho Shayad Lyrics - Hamara Khandan


Tum Sochti Ho Shayad Lyrics from Hamara Khandan is Hindi song sung by Anuradha Paudwal, Mohammed Aziz and music is given by Laxmikant Pyarelal. Tum Sochti Ho Shayad song lyrics are written by Farooq Qaiser. Hamara Khandan is a 1988 Hindi movie starring Rishi Kapoor, Farha and Kiran Juneja.

Tum Sochti Ho Shayad Lyrics - Hamara Khandan

Tum Sochti Ho Shayad Song Detail


Song: Tum Sochti Ho Shayad
Album: Hamara Khandan (1988)
Singer: Anuradha Paudwal, Mohammed Aziz
Musician: Laxmikant Pyarelal
Lyricist: Farooq Qaiser
Star Cast: Rishi Kapoor, Farha, Kiran Juneja etc.

Tum Sochti Ho Shayad Lyrics

Tum sochti ho shayad
Main tumko chhod dunga
Vaadon ko tod dunga
Kasmon ko tod dunga
Lekin kasam khuda ki
Aisa nahi karunga
Aisa nahi karunga

Main tumko chahta hoon
Main tumko poojta hoon
Main dil se keh raha hoon

Main dil se keh raha hoon

Main tumko chahta hoon
Main tumko poojta hoon
Main dil se keh raha hoon
Main dil se keh raha hoon

Tum bewafa nahi ho
Duniya se dar rahi hoon
Mar mar ke jee rahi hoon
Jee jee ke mar rahi hoon
Jitna hai mere bas mein
Utna main kar rahi hoon
Utna main kar rahi hoon

Main tumko chahti hoon
Main tumko poojti hoon
Main dil se keh rahi hoon
Main dil se keh rahi hoon

Main tumko chahti hoon
Main tumko chahta hoon
Main dil se keh rahi hoon
Main dil se keh raha hoon

Pyaar hota nahi hai dar dar ke
Ismein zinda hain log mar mar ke
Ismein badnaamiyan bhi hoti hain
Ismein barbaadiyan bhi hoti hain
Ismein dil bhi jalana padta hai
Bewajah muskurana padta hai
Muskuraunga dil jalaunga
Rasme ulfat magar nibhaunga
Kyun ke

Main tumko chahta hoon
Main tumko poojta hoon
Main dil se keh raha hoon
Main dil se keh raha hoon

Jaanti hoon wafa ke afsane
Maine dekhe hain jalte parwane
Jo mohabbat mein khaak hote hain
Unke jazbaat pak hote hain
Yaad rakhna yeh mera vaada hai
Jo tera woh mera irada hai
Rasme ulfat sanam nibhaungi
Jaan par apni khel jaungi
Kyon ki

Main tumko chahti hoon
Main tumko poojti hoon
Main dil se keh rahi hoon
Main dil se keh rahi hoon

Mujhko armaan nahi hai daulat ka
Main hoon pyasa teri mohabbat ka
Pehle shikwa tha badnaseebi ka
Ab nahi dukh mujhe gareebi ka
Tera kandha hai aur mera sar hai
Teri aankhon mein ab mera ghar hai
Aaj tan man mein tum sama jao
Yeh tumhara hai ghar basa jao
Kyon ke

Main tumko chahti hoon
Main tumko poojti hoon
Main dil se keh rahi hoon
Main dil se keh rahi hoon

Main tumko chahta hoon
Main tumko poojta hoon
Main dil se keh raha hoon
Main dil se keh raha hoon

Main tumko chahta hoon
Main tumko poojti hoon
Main dil se keh raha hoon
Main dil se keh rahi hoon