Samdhi Teri Ghodi Lyrics - Bade Ghar ki Beti


Samdhi Teri Ghodi Lyrics from Bade Ghar ki Beti is Hindi song sung by Alka Yagnik, Hariharan, Mohammed Aziz and music is given by Laxmikant Pyarelal. Samdhi Teri Ghodi song lyrics are written by Hasan Kamal. Bade Ghar ki Beti is a 1989 Hindi movie starring Rishi Kapoor, Meenakshi Seshadri and Shammi Kapoor.

Samdhi Teri Ghodi Lyrics - Bade Ghar ki Beti

Samdhi Teri Ghodi Song Detail


Song: Samdhi Teri Ghodi
Album: Bade Ghar ki Beti (1989)
Singer: Alka Yagnik, Hariharan, Mohammed Aziz
Musician: Laxmikant Pyarelal
Lyricist: Hasan Kamal
Star Cast: Rishi Kapoor, Meenakshi Seshadri, Shammi Kapoor etc.

Samdhi Teri Ghodi Lyrics

Samdhi to hai mota taza
Samdhan phool ki daali
Arre munh mein paani aa gaya
Dekh ke yeh hariyali

Aayi daudi daudi chane ke khet mein
Samdhi teri ghodi chane ke khet mein
Samdhi teri ghodi chane ke khet mein
Aayi daudi daudi chane ke khet mein
Samdhi teri ghodi chane ke khet mein
Samdhi teri ghodi chane ke khet mein

Kheti dekhi hari bhari
Aur tabiyat jo lalchai
Laj sharam sab chhod ke
Bhaagi bhaagi aayi

Charti hai nigodi chane ke khet mein
Samdhan teri ghodi chane ke khet mein
Samdhan teri ghodi chane ke khet mein
Charti hai nigodi chane ke khet mein
Samdhan teri ghodi chane ke khet mein
Samdhan teri ghodi chane ke khet mein

Mere samdhan to bholi bhali hai
Samdhi khud hi bada sawali hai Lalchi hai bada mua samdhi
Jisko dekha phisal gaya samdhi

Taakna jhaakna hai kaam uska
Aur dilphenk hi hai naam uska
Pahunchi samdhan bechari jab panghat
Tha wahan par chhupa hua natkhat
Samne aake rok li raahein
Aur bharne laga thandi aahein

Baiyan jo marodi
Baiyan jo marodi chane ke khet mein
Choodi usne todi chane ke khet mein
Choodi usne todi chane ke khet mein
Aayi daudi daudi chane ke khet mein
Samdhi teri ghodi chane ke khet mein
Samdhi teri ghodi chane ke khet mein

Aisa samdhan ko bha gaya samdhi
Uske dil mein sama gaya samdhi
Teer nazron ka dil ke paar hua
Ishq ka bhoot jab sawar hua
Paani laane ka to bahana tha
Usko samdhi se milne jaana tha

Banke baithi hai jo badi bholi
Poochho kisne bhigoyi hai choli
Poochho to in jhuki nigahon se
Hoke aayi hai kiski raahon se

Gayi thi nigodi
Gayi thi nigodi chane ke khet mein
Gagri usne phodi chane ke khet mein
Gagri usne phodi chane ke khet mein
Gayi thi nigodi chane ke khet mein
Samdhan teri ghodi chane ke khet mein
Samdhan teri ghodi chane ke khet mein

Kya khurafaat yeh lagayi hai
Samdhi samdhan ki kya ladayi hai
Chhodo samdhi ko chhodo samdhan ko
Dekho dulha ko dekho dulhan ko
Dulha raja nawab ho jaise
Aur dulhan gulaab ho jaise
Dono aabad hon phale phoolein
Chand suraj nahi falak chhu lein
Eid ho din to shab Diwali ho
Inki jholi kabhi na khaali ho
Inki jholi kabhi na khaali ho
Jee le inki jodi chane ke khet mein
Jee le inki jodi chane ke khet mein

Samdhi teri ghodi chane ke khet mein
Samdhan teri ghodi chane ke khet mein
Samdhi teri ghodi chane ke khet mein
Samdhan teri ghodi chane ke khet mein