Nikle The Kahan Jane Ke Liye Lyrics - Bahu Begum




Nikle The Kahan Jane Ke Liye Lyrics from Bahu Begum is Hindi song sung by Asha Bhosle and music is given by Roshan. Nikle The Kahan Jane Ke Liye song lyrics are written by Sahir Ludhianvi. Bahu Begum is a 1967 Hindi movie starring Ashok Kumar, Meena Kumari and Pradeep Kumar.

Nikle The Kahan Jane Ke Liye Lyrics

Nikle the kahan jane ke liye
Pahunche hain kahan malum nahi
Pahunche hain kahan malum nahi
Ab apne bhatakte kadmon ko
Manzil ka nisha malum nahi
Manzil ka nisha malum nahi

Humne bhi kabhi ho
Humne bhi kabhi is gulshan mein
Ek khwaab e bahara dekha tha
Ek khwaab e bahara dekha tha


Kab phool jhade
Kab phool jhade kab gard udi
Kab aayi khiza malum nahi
Kab aayi khiza malum nahi
Ab apne bhatakte kadmon ko
Manzil ka nisha malum nahi
Manzil ka nisha malum nahi

Dil shola e gham ho
Dil shola e gham se khaak hua
Ya aag lagi armanon mein
Ya aag lagi armanon mein

Kya cheez jali
Kya cheez jali kyun seene se
Uthta hai dhuan malum nahi
Uthta hai dhuan malum nahi
Ab apne bhatakte kadmon ko
Manzil ka nisha malum nahi
Manzil ka nisha malum nahi

Barbad wafa ho
Barbad wafa ka afsana
Hum kis'se kahein aur kaise kahein
Hum kis'se kahein aur kaise kahein
Khamosh hain lab
Khamosh hain lab aur duniya ko
Ashqon ki zuban malum nahi
Ashqon ki zuban malum nahi

Nikle the kahan jane ke liye
Pahunche hain kahan malum nahi
Pahunche hain kahan malum nahi
Ab apne bhatakte kadmon ko
Manzil ka nisha malum nahi
Manzil ka nisha malum nahi




Nikle The Kahan Jane Ke Liye Song Detail


Song: Nikle The Kahan Jane Ke Liye
Album: Bahu Begum (1967)
Singer: Asha Bhosle
Musician: Roshan
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Star Cast: Ashok Kumar, Meena Kumari, Pradeep Kumar etc.