Kya Miliye Aise Logon Se Lyrics - Izzat


Kya Miliye Aise Logon Se Lyrics from Izzat is Hindi song sung by Mohammed Rafi. Kya Miliye Aise Logon Se song lyrics are written by Sahir Ludhianvi, its music is given by Laxmikant Pyarelal. Izzat is a 1968 Hindi movie starring Dharmendra, Tanuja and Jayalalitha.

Kya Miliye Aise Logon Se Lyrics - Izzat

Kya Miliye Aise Logon Se Song Detail


Song: Kya Miliye Aise Logon Se
Album: Izzat (1968)
Singer: Mohammed Rafi
Musician: Laxmikant Pyarelal
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Star Cast: Dharmendra, Tanuja, Jayalalitha etc.

Kya Miliye Aise Logon Se Lyrics

Kya miliye
Kya miliye aise logon se
Jinki fitrat chhupi rahe
Kya miliye aise logon se
Jinki fitrat chhupi rahe
Nakli chehra samne aaye
Asli soorat chhupi rahe

Kya miliye aise logon se
Jinki fitrat chhupi rahe
Nakli chehra samne aaye

Asli soorat chhupi rahe

Khud se bhi jo khud ko chhupaye
Kya unse pehchan karein
Kya unke daaman se liptein
Kya unka armman karein

Khud se bhi jo khud ko chhupaye
Kya unse pehchan karein
Kya unke daaman se liptein
Kya unka armman karein

Jinki aadhi neeyat ubhre
Aadhi neeyat chhupi rahe
Nakli chehra samne aaye Asli soorat chhupi rahe

Dildaari ka dhong racha kar
Jaal bichhaye baaton ka
Jeete jee ka rishta keh kar
Sukh dhoondhe kuchh raaton ka

Dildaari ka dhong racha kar
Jaal bichhaye baaton ka
Jeete jee ka rishta keh kar
Sukh dhoondhe kuchh raaton ka

Rooh ki hasrat lab par aaye
Jism ki hasrat chhupi rahe
Nakli chehra samne aaye
Asli soorat chhupi rahe

Jinke zulm se dukhi hai janta
Har basti har gaanv mein
Daya dharam ki baat karein woh
Baith ke saji sabhaon mein

Jinke zulm se dukhi hai janta
Har basti har gaanv mein
Daya dharam ki baat karein woh
Baith ke saji sabhaon mein

Daan ka charcha ghar ghar pahunche
Loot ki daulat chhupi rahe
Nakli chehra samne aaye
Asli soorat chhupi rahe

Dekhein in nakli chehron ki
Kab tak jai jaikar chale
Ujle kapdon ki teh mein
Kab tak kala sansar chale

Dekhein in nakli chehron ki
Kab tak jai jaikar chale
Ujle kapdon ki teh mein
Kab tak kala sansar chale

Kab tak logon ki nazron se
Chhupi hakeekat chhupi rahe
Nakli chehra samne aaye
Asli soorat chhupi rahe

Kya miliye aise logon se
Jinki fitrat chhupi rahe
Nakli chehra samne aaye
Asli soorat chhupi rahe