Kajra Laga Ke Gajra Saja Ke Lyrics - Apna Desh


Kajra Laga Ke Gajra Saja Ke Lyrics from Apna Desh is Hindi song in the voices of Kishore Kumar, Lata Mangeshkar. Kajra Laga Ke Gajra Saja Ke song lyrics are written by Anand Bakshi, its music is given by R D Burman. Apna Desh is a 1972 Hindi movie starring Rajesh Khanna, Mumtaz and Om Prakash.

Kajra Laga Ke Gajra Saja Ke Lyrics - Apna Desh

Kajra Laga Ke Gajra Saja Ke Song Detail


Song: Kajra Laga Ke Gajra Saja Ke
Album: Apna Desh (1972)
Singer: Kishore Kumar, Lata Mangeshkar
Musician: R. D. Burman
Lyricist: Anand Bakshi
Star Cast: Rajesh Khanna, Mumtaz, Om Prakash etc.

Kajra Laga Ke Gajra Saja Ke Lyrics

Kajra laga ke gajra saja ke
Kajra laga ke gajra saja ke
Bijuri gira ke jaiyo na
Nain mila ke chain chura ke
Nindiya uda ke jaiyo na haan

Kajra laga ke gajra saja ke
Kajra laga ke gajra saja ke
Bijuri gira ke jaiyo na
Nain mila ke chain chura ke
Nindiya uda ke jaiyo na haan

Kajra ho gajra ho

Mukhda na dekho darpan mein
Jhaanko zara mere man mein
Mukhda na dekho na dekho
Mukhda na dekho darpan mein
Jhaanko zara mere man mein

Aise jiya pe chhayi ho
Jaise ghatayein sawan mein
Raat aur din tumhre bin
Man mein aur kaun hai
Ab zid chhodo na aage aage daudo
Dil na mera todo

Ghunghata gira ke
Ghunghata gira ke mukhda chhupa ke
Bijuri gira ke jaiyo na
Nain mila ke chain chura ke
Nindiya uda ke jaiyo na haan
Kajra ho gajra ho

Chhodo meri kalayi ko
Sun lo meri duhayi ko
Chhodo meri ho oh julmi
Chhodo meri kalayi ko
Sun lo meri duhayi ko
Kyon chhedte ho raste mein
Ladki kisi parayi ko

Mera naam ho badanam
Yeh jo koyi dekh le
Chalo hato jao jiya na dhadkao
Dekho baaj aao

Apna bana ke
Apna bana ke sapna dikha ke
Bijuri gira ke jaiyo na
Nain mila ke chain chura ke
Nindiya uda ke jaiyo na haan

Kajra laga ke gajra saja ke
Bijuri gira ke jaiyo na
Nain mila ke chain chura ke
Nindiya uda ke jaiyo na haan
Kajra ho gajra ho
Kajra ho gajra ho
Kajra ho gajra ho