Ro Na Kabhi Nahin Rona Lyrics - Apna Desh




Ro Na Kabhi Nahin Rona Lyrics from Apna Desh is Hindi song sung by Kishore Kumar. Ro Na Kabhi Nahin Rona song lyrics are written by Anand Bakshi, its music is given by R D Burman. Apna Desh is a 1972 Hindi movie starring Rajesh Khanna, Mumtaz and Om Prakash.

Ro Na Kabhi Nahin Rona Lyrics

Ro na kabhi nahin rona
Chahe toot jaaye koyi khilona khilona
Sona chupke se sona
Chahe toot jaaye sapna salona salona

Dukh sukh ki kya baat hai
Kya din hai kya raat hai
Aansu bhi muskaan banein
Yeh to apne hath hai

Aashaon ki dori mein sada
Tum man ke phool pirona
Ro na kabhi nahin rona
Chahe toot jaaye koyi khilona khilona

Dekho bachchon baag mein
Sab kaliyan nahin khilti
Duniya mein insaan ko
Sab cheezein nahin milti

Jo apna nahin tum uske liye
Jo apna hai nahin khona
Ro na kabhi nahin rona
Chahe toot jaaye koyi khilona khilona

Rang se aur na dhaam se
Zaat se aur na naam se
Izzat milti hai yahan
Dekho achche kaam se
Koyi kaam bura tum mat karna
Badnaam kabhi nahin hona

Ro na kabhi nahin rona
Chahe toot jaaye koyi khilona khilona
Sona chupke se sona
Chahe toot jaaye sapna salona salona
Rona chacha nahin rona
Chahe toot jaaye koyi khilona khilona




Ro Na Kabhi Nahin Rona Song Detail


Song: Ro Na Kabhi Nahin Rona
Album: Apna Desh (1972)
Singer: Kishore Kumar
Musician: R. D. Burman
Lyricist: Anand Bakshi
Star Cast: Rajesh Khanna, Mumtaz, Om Prakash etc.