Abhi Aaya Nahi Hai Jo Lyrics - Vishwatma


Abhi Aaya Nahi Hai Jo Lyrics from Vishwatma is Hindi song in the voices of Alka Yagnik, Amit Kumar, Sadhana Sargam, Sapna Mukherjee. Abhi Aaya Nahi Hai Jo song lyrics are written by Anand Bakshi, its music is given by Viju Shah. Vishwatma is a 1992 Hindi movie starring Sunny Deol, Chunky Pandey and Divya Bharti.

Abhi Aaya Nahi Hai Jo Lyrics - Vishwatma

Abhi Aaya Nahi Hai Jo Song Detail


Song: Abhi Aaya Nahi Hai Jo
Album: Vishwatma (1992)
Singer: Alka Yagnik, Amit Kumar, Sadhana Sargam, Sapna Mukherjee
Musician: Viju Shah
Lyricist: Anand Bakshi
Star Cast: Sunny Deol, Chunky Pandey, Divya Bharti etc.

Abhi Aaya Nahi Hai Jo Lyrics

Toofan toofan toofan toofan
Toofan toofan toofan toofan
Toofan toofan

Abhi aaya nahi hai jo
Abhi aaya huwa hai jo
Abhi aane wala hai jo
Use toofan kehte hain
Khuda ki shaan kehte hain

Abhi aaya nahi hai jo
Abhi aaya huwa hai jo

Abhi aane wala hai jo
Use toofan kehte hain
Khuda ki shaan kehte hain

Koyi paigam aaya hai
Yeh tere naam aaya hai
Bohat nazdeek oh zalim
Tera anjaam aaya hai

Koyi paigam aaya hai
Yeh tere naam aaya hai
Bohat nazdeek oh zalim
Tera anjaam aaya hai

Nahi pehchanta kuchh bhi Nahi jo jaanta kuchh bhi
Nahi jo maanta kuchh bhi
Use nadaan kehte hain
Tujhe shaitan kehte hain

Badalne lag gaya hai
Rang mehfil ka sambhal ja tu
Hawayein chal padi hain tez
Chal bachkar nikal ja tu

Badalne lag gaya hai
Rang mehfil ka sambhal ja tu
Hawayein chal padi hain tez
Chal bachkar nikal ja tu

Nahi to doob jayega
Nahi to toot jayega
Use aana hai aayega
Jise toofan kehte hain
Khuda ki shaan kehte hain

Abhi aaya nahi hai jo
Abhi aaya huwa hai jo
Abhi aane wala hai jo
Use toofan kehte hain
Khuda ki shaan kehte hain

Likhe jaate hain saare
Faisle to aasmanon par
Wahin se bijliyan girti hain
Aise beimaanon par

Likhe jaate hain saare
Faisle to aasmanon par
Wahin se bijliyan girti hain
Aise beimaanon par

Jo hona hai wohi hoga
Nahi hona nahi hoga
Yeh hona hai yahi hoga
Yeh sab insaan kehte hain
Tujhe shaitan kehte hain

Abhi aaya nahi hai jo
Abhi aaya huwa hai jo
Abhi aane wala hai jo
Use toofan kehte hain
Khuda ki shaan kehte hain