Karoge Yaad To Har Baat Yaad Aayegi Lyrics - Bazaar


Karoge Yaad To Har Baat Yaad Aayegi Lyrics from Bazaar: This is a very well sung song by Bhupinder with nicely composed music by Khayyam. Lyrics of Karoge Yaad To Har Baat Yaad Aayegi are beautifully penned by Bashar Nawaz. Bazaar is a 1982 Hindi movie starring Naseeruddin Shah, Supriya Pathak and Smita Patil.

Karoge Yaad To Har Baat Yaad Aayegi Lyrics - Bazaar

Karoge Yaad To Har Baat Yaad Aayegi Song Detail


Song: Karoge Yaad To Har Baat Yaad Aayegi
Album: Bazaar (1982)
Singer: Bhupinder
Musician: Khayyam
Lyricist: Bashar Nawaz
Star Cast: Naseeruddin Shah, Supriya Pathak, Smita Patil etc.

Karoge Yaad To Har Baat Yaad Aayegi Lyrics

Karoge yaad to har baat yaad aayegi
Karoge yaad to har baat yaad aayegi
Ghuzarte waqt ki har mauj thehar jayegi
Ghuzarte waqt ki har mauj thehar jayegi
Karoge yaad to

Yeh chaand beete zamanon ka aaina hoga
Yeh chaand beete zamanon ka aaina hoga
Bhatakte abra mein chehra koyi bana hoga
Udas raah koyi dastan sunayegi
Udas raah koyi dastan sunayegi

Karoge yaad to

Barasta bheegta mausam dhuan dhuan hoga
Barasta bheegta mausam dhuan dhuan hoga
Pighalti shammon pe dil ka mere ghuman hoga
Hatheliyon ki hina yaad kuchh dilayegi
Hatheliyon ki hina yaad kuchh dilayegi
Karoge yaad to

Gali ke mod pe soona sa koyi darwaza
Gali ke mod pe soona sa koyi darwaza
Tarasti aankhon se rasta kisi ka dekhega
Nigah door talak jaake laut aayegi
Nigah door talak jaake laut aayegi

Karoge yaad to har baat yaad aayegi
Ghuzarte waqt ki har mauj thehar jayegi
Karoge yaad to