Phir Chhidi Raat Baat Phoolon Ki Lyrics - Bazaar


Phir Chhidi Raat Baat Phoolon Ki Lyrics from Bazaar is sung by Lata Mangeshkar and Talat Aziz and written by Maqdoom Mohiuddin. Music of Phir Chhidi Raat Baat Phoolon Ki is composed by Khayyam. Bazaar is a 1982 Hindi movie starring Naseeruddin Shah, Supriya Pathak and Smita Patil.

Phir Chhidi Raat Baat Phoolon Ki Lyrics - Bazaar

Phir Chhidi Raat Baat Phoolon Ki Song Detail


Song: Phir Chhidi Raat Baat Phoolon Ki
Album: Bazaar (1982)
Singer: Lata Mangeshkar, Talat Aziz
Musician: Khayyam
Lyricist: Maqdoom Mohiuddin
Star Cast: Naseeruddin Shah, Supriya Pathak, Smita Patil etc.

Phir Chhidi Raat Baat Phoolon Ki Lyrics

Phir chhidi raat baat phoolon ki
Phir chhidi raat baat phoolon ki
Raat hai ya baraat phoolon ki
Raat hai ya baraat phoolon ki

Phool ke haar, phool ke gajre
Phool ke haar, phool ke gajre
Shaam phoolon ki, raat phoolon ki
Shaam phoolon ki, raat phoolon ki
Phir chhidi raat baat phoolon ki

Aapka sath, sath phoolon ka

Aapka sath, sath phoolon ka
Aapki baat, baat phoolon ki
Aapki baat, baat phoolon ki
Phir chhidi raat baat phoolon ki

Phool khilte rahenge duniya mein
Phool khilte rahenge duniya mein
Roz niklegi baat phoolon ki
Roz niklegi baat phoolon ki
Phir chhidi raat baat phoolon ki

Nazrein milti hain, jaam milte hain
Nazrein milti hain, jaam milte hain
Mil rahi hai hayaat phoolon ki Mil rahi hai hayaat phoolon ki
Phir chhidi raat baat phoolon ki

Yeh mehakti huyi ghazal makdoon
Yeh mehakti huyi ghazal makdoon
Jaise sehra mein raat phoolon ki
Jaise sehra mein raat phoolon ki
Phir chhidi raat baat phoolon ki
Raat hai ya baraat phoolon ki