Yeh Kiska Lahu Hai Lyrics - Dharmputra


Yeh Kiska Lahu Hai Lyrics from Dharmputra is Hindi song sung by Mahendra Kapoor and music is given by Datta Naik. Yeh Kiska Lahu Hai song lyrics are written by Sahir Ludhianvi. Dharmputra is a 1961 Hindi movie starring Mala Sinha, Shashi Kapoor and Rehman.

Yeh Kiska Lahu Hai Lyrics - Dharmputra

Yeh Kiska Lahu Hai Song Detail


Song: Yeh Kiska Lahu Hai
Album: Dharmputra (1961)
Singer: Mahendra Kapoor
Musician: Datta Naik
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Star Cast: Mala Sinha, Shashi Kapoor, Rehman etc.

Yeh Kiska Lahu Hai Lyrics

Dharti ki sulagti chhati ke
Bechain sharare poochhte hain
Tum log jinhein apna na sake
Woh khoon ke dhaare poochhte hain

Sadkon ki zuban chillati hai
Saagar ke kinaare poochhte hain

Yeh kiska lahu hai kaun mara
Yeh kiska lahu hai kaun mara
Aye rehbar mulkon kaum bata
Yeh kiska lahu hai kaun mara

Yeh kiska lahu hai kaun mara
Yeh kiska lahu hai kaun mara

Yeh jalte huye ghar kiske haim
Yeh kat'te huye tan kiske hain
Takseem ke andhe tufaan mein
Lut'te huye gulshan kiske hain
Badbakht kizayein kiski hain
Badbakht kizayein kiski hain
Barabaad nasheman kiske hain

Kuchh hum bhi sunein humko bhi suna
Kuchh hum bhi sunein humko bhi suna
Aye rehbar mulkon kaum bata Yeh kiska lahu hai kaun mara
Yeh kiska lahu hai kaun mara
Yeh kiska lahu hai kaun mara

Kis kaam ke hain yeh deen dharam
Jo sharm ka daaman chaak karein
Kis tarah ke hain yeh desh bhagat
Jo baste gharon ko khaak karein
Yeh roohein kaisi roohein hain
Yeh roohein kaisi roohein hain
Jo dharti ko napaak karein

Aankhein to utha nazrein to mila
Aankhein to utha nazrein to mila
Aye rehbar mulkon kaum bata
Yeh kiska lahu hai kaun mara
Yeh kiska lahu hai kaun mara
Yeh kiska lahu hai kaun mara

Jis Ram ke naam pe khoon bahe
Us Ram ki izzat kya hogi
Jis deen ke hathon laaj lute
Us deen ki keemat kya hogi
Insaan ki is zillat se pare
Insaan ki is zillat se pare
Shaitaan ki zillat kya hogi

Yeh ved hata kuran utha
Yeh ved hata kuran utha
Aye rehbar mulkon kaum bata
Yeh kiska lahu hai kaun mara
Yeh kiska lahu hai kaun mara
Yeh kiska lahu hai kaun mara