Yeh Hum Aa Gaye Hain Kahan Lyrics - Veer Zaara




Yeh Hum Aa Gaye Hain Kahan Lyrics from Veer Zaara is sung by Lata Mangeshkar and Udit Narayan and written by Javed Akhtar. Its music composed by Madan Mohan. Veer Zaara is a 2004 Hindi movie starring Shah Rukh Khan, Rani Mukerji and Preity Zinta.

Yeh Hum Aa Gaye Hain Kahan Lyrics

Lehrati huyi raahein
Khole huye hain baahein
Yeh hum aa gaye hain kahan
Palkon pe gehre halke
Hain reshmi dhundhalke ke
Yeh hum aa gaye hain kahan
Aa yeh hum aa gaye hain kahan

Woh dekho zara parbaton pe ghatayein
Hamari dastan haule se sunayein
Suno to zara yeh phoolon ki vaadi
Hamari hi koyi kahani hai sunati
Sapnon ke is nagar mein
Yaadon ki rehguzar mein
Yeh hum aa gaye hain kahan
Yeh hum aa gaye hain kahan

Jo raahon mein hai rut ne sona bikhera
Sunehra hua tera mera savera
Zameen so gayi barf ki chaadron mein
Bas ik aag si jalti hai do dilon mein
Hawayein sansanayein, badan kaanp jayein
Yeh hum aa gaye hain kahan
Haan yeh hum aa gaye hain kahan


Yeh barsaat bhi kab thame kaun jaane
Tumhein mil gaye pyar ke sau bahane
Sitaron ki hai jaise baraat aayi
Hamare liye raat yoon jagmagayi
Sapne bhi jhilmilayein
Dil mein diye jalayein
Yeh hum aa gaye hain kahan

Haan yeh hum aa gaye hain kahan x (2)




Yeh Hum Aa Gaye Hain Kahan Song Detail


Song: Yeh Hum Aa Gaye Hain Kahan
Album: Veer Zaara (2004)
Singer: Lata Mangeshkar, Udit Narayan
Musician: Madan Mohan
Lyricist: Javed Akhtar
Star Cast: Shah Rukh Khan, Rani Mukerji, Preity Zinta etc.