Woh Aurat Hai Tu Mehbooba Lyrics - Satyam Shivam Sundaram




Woh Aurat Hai Tu Mehbooba Lyrics from Satyam Shivam Sundaram is Hindi song in the voices of Lata Mangeshkar, Nitin Mukesh. Woh Aurat Hai Tu Mehbooba song lyrics are written by Anand Bakshi, its music is given by Laxmikant Pyarelal. Satyam Shivam Sundaram is a 1978 Hindi movie starring Shashi Kapoor, Padmini Kolhapure and Zeenat Aman.

Woh Aurat Hai Tu Mehbooba Lyrics

Main kaise use pasand karun
Main kaise aankhein band karun

Woh aurat hai tu mehbooba
Tu sab kuchh hai woh kuchh bhi nahi
Woh aurat hai tu mehbooba
Tu sab kuchh hai woh kuchh bhi nahi

Tum aise use pasand karo
Mil baitho baatein chand karo
Woh aurat hai main mehbooba
Woh sab kuchh hai main kuchh bhi nahi
Kuchh bhi nahi
Woh aurat hai main mehbooba
Woh sab kuchh hai main kuchh bhi nahi

Mere liye jo pyaar mohabbat
Uske liye paheli
Mere liye jo pyaar mohabbat
Uske liye paheli
Champa kaise bhaaye use
Jiske man basi chameli

Uska dukh hai mera dukh
Meri sautan meri saheli
Mere bina akele tum ho
Woh tumhre bina akeli

Mat yeh deewar buland karo
Mil baitho baatein chand karo
Woh aurat hai main mehbooba
Woh sab kuchh hai main kuchh bhi nahi
Kuchh bhi nahi
Woh aurat hai main mehbooba
Woh sab kuchh hai main kuchh bhi nahi

Uska naam na le mujhko
Nafrat hai uske naam se
Thak gaye ho bechain ho
Tum so jao aaram se

Yeh rain milan ki raina hai
Milkar bhi door hi rehna hai
Toone kitna tarsaya hai
Tumne kitna tadpaya hai

Roopa kyun roop chupati hai
Aise mein sharm to aati hai
Ab yeh ghoonghat uth jaane do
Kuchh der yoon hi sharmane do

Mukh dhaanp liya kyun hathon se
Dar lagta hai in baaton se
Main dunga apna naam tujhe
Tum kar doge badnaam mujhe
Kuchh paap nahi hai pyar hai yeh
Ek sheeshe ki deewar hai yeh
Gir jaane do deewaron ko
Chhupne do chaand sitaaron ko




Woh Aurat Hai Tu Mehbooba Song Detail


Song: Woh Aurat Hai Tu Mehbooba
Album: Satyam Shivam Sundaram (1978)
Singer: Lata Mangeshkar, Nitin Mukesh
Musician: Laxmikant Pyarelal
Lyricist: Anand Bakshi
Star Cast: Shashi Kapoor, Padmini Kolhapure, Zeenat Aman etc.