Utar Aayi Akhade Mein Lyrics - Chameli Ki Shaadi


Utar Aayi Akhade Mein Lyrics from Chameli Ki Shaadi is Hindi song sung by Asha Bhosle and music is given by Kalyanji Anandji. Utar Aayi Akhade Mein song lyrics are written by Farooq Qaiser.

Utar Aayi Akhade Mein Lyrics - Chameli Ki Shaadi

Utar Aayi Akhade Mein Song Detail


Song: Utar Aayi Akhade Mein
Album: Chameli Ki Shaadi (1986)
Singer: Asha Bhosle
Musician: Kalyanji Anandji
Lyricist: Farooq Qaiser

Utar Aayi Akhade Mein Lyrics

Aere aa aa
Utar aayi akhade mein
Tere sapnon ki rani
Utar aayi akhade mein
Tere sapnon ki rani
Arre dum hai to
Arre dum hai to aa kar le
Pyaar mein pehalwani

Utar aayi akhade mein
Tere sapnon ki rani

Utar aayi akhade mein
Tere sapnon ki rani

Ho panja lada ke na maarun re tujhko
Naina mila ke main maarun
Rasiya re naina mila ke main maarun

Pyaar ka aisa daanv lagaun
Dangle ka bhoot utarun
Sar se dangle ka bhoot utarun
Mil jayegi ho mil jayegi mitti mein
Yahan teri jawani
Utar aayi akhade mein
Tere sapnon ki rani

Ho teekhe yahan bhang aa sang mere
Tufaan mein tu bhi utar ja
Rasiya re tufaan mein tu bhi utar ja
Yeh ishq sholon ka dariya hai to kya
Aa doob ke paar kar ja
Pyare aa doob ke paar kar ja
Paar tujhko ho paar tujhko laga degi
Teri prem deewani
Utar aayi akhade mein
Tere sapnon ki rani

Ho sajna ho sajna
Maine yahan sej phoolon ki sajna
Tere liye hai sajayi
Ho saare zamane ko thokar laga ke
Tujhse lagan hai lagayi
Maine tujhse lagan hai lagayi
Arre aa bhi ja aa bhi ja baahon mein
Chhod de aana kaani

Utar aayi akhade mein
Tere sapnon ki rani
Arre dum hai to aa kar le
Pyaar mein pehalwani