Mohabbat Ke Dushman Lyrics - Chameli Ki Shaadi


Mohabbat Ke Dushman Lyrics from Chameli Ki Shaadi is Hindi song sung by Anwar Hussain and music is given by Kalyanji Anandji. Mohabbat Ke Dushman song lyrics are written by Anjaan.

Mohabbat Ke Dushman Lyrics - Chameli Ki Shaadi

Mohabbat Ke Dushman Song Detail


Song: Mohabbat Ke Dushman
Album: Chameli Ki Shaadi (1986)
Singer: Anwar Hussain
Musician: Kalyanji Anandji
Lyricist: Anjaan

Mohabbat Ke Dushman Lyrics

Phir koyi bana mughale azam
Phir kaid huyi Anarkali
Par aaj Salim jhukega nahi
Dekhegi tamasha saari gali

Mohabbat ke dushman zara hosh mein aa
Mohabbat ke dushman zara hosh mein aa
Mohabbat ke dushman zara hosh mein aa

Bujhaye bujhe na mohabat ke shole
Bujhaye bujhe na mohabat ke shole
Aye zalim agar tu samundar bhi le aa

Mohabbat ke dushman zara hosh mein aa
Mohabbat ke dushman zara hosh mein aa

Mohobbat ko koyi tijarat samajh ke
Ya pathar ki koyi imaarat samajh ke
Yeh na soch
Yeh na soch bazar mein bech dega
Yeh sauda bohat tujhko mehanga padega

Jo bik jaye woh sheh mohobbat nahi hai
Mohobbat nahi hai mohobbat nahi hai
Jo bik jaye woh sheh mohobbat nahi hai
Mohobbat hai ibadat mohabbat hai pooja
Mohabbat ke dushman zara hosh mein aa Mohabbat ke dushman zara hosh mein aa

Sitam aise pahle bhi to ho chuke hain
Deewane magar kiske aage jhuke hain
Dilon pe na teri hukumat chalegi
Mohobbat yeh zanjeeron mein na bandhegi

Fateh kar sake jo mohobbat ki duniya
Mohobbat ki duniya mohobbat ki duniya
Fateh kar sake jo mohobbat ki duniya
Agar ho kahin woh Sikandar bhi le aa
Mohabbat ke dushman zara hosh mein aa
Mohabbat ke dushman zara hosh mein aa

Yeh joshe junoon jab bagawat pe aaye
Kate to kate sar jhuke na jhukaye
Sitamgar hai aaya bura waqt tera
Deewana ulat dega yeh takht tera

Jo sar kaat de dil ke joshe junun ka
Joshe junun dil ke joshe junun ka
Sar kaat de jo joshe junun ka
Joshe junun ka joshe junun ka
Sar kaat de dil ke joshe junun ka
Agar mil sake to woh khanjar bhi le aa

Mohabbat ke dushman zara hosh mein aa
Bujhaye bujhe na mohabat ke shole
Aye zalim agar tu samundar bhi le aa
Mohabbat ke dushman zara hosh mein aa
Mohabbat ke dushman zara hosh mein aa
Zara hosh mein aa
Mohabbat ke dushman zara hosh mein aa
Zara hosh mein aa
Mohabbat ke dushman zara hosh mein aa
Zara hosh mein aa