Udhar Tum Haseen Ho Lyrics - Mr And Mrs 55


Udhar Tum Haseen Ho Lyrics from Mr And Mrs 55 is Hindi song in the voices of Geeta Dutt, Mohammad Rafi. Udhar Tum Haseen Ho song lyrics are written by Majrooh Sultanpuri, its music is given by O P Nayyar. Mr And Mrs 55 is a 1955 Hindi movie starring Madhubala, Guru Dutt and Lalita Pawar.

Udhar Tum Haseen Ho Lyrics - Mr And Mrs 55

Udhar Tum Haseen Ho Song Detail


Song: Udhar Tum Haseen Ho
Album: Mr And Mrs 55 (1955)
Singer: Geeta Dutt, Mohammad Rafi
Musician: O. P. Nayyar
Lyricist: Majrooh Sultanpuri
Star Cast: Madhubala, Guru Dutt, Lalita Pawar etc.

Udhar Tum Haseen Ho Lyrics

Udhar tum haseen ho
Idhar dil jawaan hai
Yeh rangeen raaton ki
Ek dastaan hai

Udhar tum haseen ho
Idhar dil jawaan hai
Yeh rangeen raaton ki
Ek dastaan hai

Yeh kaisa hai nagma
Yeh kya dastaan hai

Bata aye mohabbat
Mera dil kahan hai
Yeh kaisa hai nagma

Mere ghar mein aayi huyi hai bahaar
Qayamat hai phir bhi karun intezaar
Mere ghar mein aayi huyi hai bahaar
Qayamat hai phir bhi karun intezaar

Aa mohabbat kuchh aisi sada de rahi hai
Mohabbat kuchh aisi sada de rahi hai
Ki khud raat angdaiyan le rahi hai
Jidhar dekhti hoon nazara jawaan hai

Udhar tum haseen ho Idhar dil jawaan hai
Yeh rangeen raaton ki
Ek dastaan hai

Yeh kaisa hai nagma
Yeh kya dastaan hai
Bata aye mohabbat
Mera dil kahan hai
Yeh kaisa hai nagma

Sulagti hain taaron ki parchhaiyan
Buri hain mohabbat ki tanhaiyan
Sulagti hain taaron ki parchhaiyan
Buri hain mohabbat ki tanhaiyan

Aa mehakne laga meri zulfon mein koyi
Mehakne laga meri zulfon mein koyi
Lagi jaagne dhadkanein soyi soyi
Meri har nazar aaj dil kii zuban hai

Udhar tum haseen ho
Idhar dil jawaan hai
Yeh rangeen raaton ki
Ek dastaan hai

Yeh kaisa hai nagma
Yeh kya dastaan hai
Bata aye mohabbat
Mera dil kahan hai
Yeh kaisa hai nagma

Tarasta hoon main aise dildaar ko
Jo dil mein basa le mere pyar ko
Tarasta hoon main aise dildaar ko
Jo dil mein basa le mere pyar ko

Aa tere khwab hain meri raaton pe chhaye
Tere khwab hain meri raaton pe chhaye
Mere dil pe hain teri palkon ke saaye
Ke mere labon par teri dastaan hai

Udhar tum haseen ho
Idhar dil jawaan hai
Yeh rangeen raaton ki
Ek dastaan hai

Yeh kaisa hai nagma
Yeh kya dastaan hai
Bata aye mohabbat
Mera dil kahan hai
Yeh kaisa hai nagma