Tu Hi Re Tu Hi Re Tere Bina Main Kaise Jiyu Lyrics - Bombay


Lyrics of Tu Hi Re Tu Hi Re Tere Bina Main Kaise Jiyu song from Bombay is an amazing composition of musician A R Rahman. Read Tu Hi Re Tu Hi Re Tere Bina Main Kaise Jiyu Lyrics which are well written by Mehboob Bombay is a 1995 Hindi movie starring Arvind Swamy, Manisha Koirala and Tinu Anand.

Tu Hi Re Tu Hi Re Tere Bina Main Kaise Jiyu Lyrics - Bombay

Tu Hi Re Tu Hi Re Tere Bina Main Kaise Jiyu Song Detail


Song: Tu Hi Re Tu Hi Re Tere Bina Main Kaise Jiyu
Album: Bombay (1995)
Singer: Hariharan, Chitra
Musician: A. R. Rahman
Lyricist: Mehboob
Star Cast: Arvind Swamy, Manisha Koirala, Tinu Anand etc.

Tu Hi Re Tu Hi Re Tere Bina Main Kaise Jiyu Lyrics

Tu hi re, tu hi re tere bina main kaise jiyu
Aaja re, aaja re yoon hi tadpa na tu mujhko
Jaan re, jaan re in sanson mein bas ja tu
Chand re, chand re aaja dil ki zameen pe tu

Chaahat hai agar aake mujhse mil ja tu
Ya phir aisa kar, dharti se mila de mujhko
Tu hi re, tu hi re tere bina main kaise jiyu
Aaja re, aaja re yoon hi tadpa na tu mujhko

In saanson ka dekho tum pagalpan ke
Aaye nahi inhein chain

Mujhse yeh boli main raahon mein teri
Apne bichha doon yeh nain
In oonche pahadon se jaan de doonga main
Gar tum na aayi kahin
Tum udhar jaan ummeed meri jo todo
Idhar yeh jahaan chhodun main
Maut aur, zindagi tere haathon mein de diya re

Aayi re, aayi re le main aayi hoon tere liye
Toda re, toda re har bandhan ko pyaar ke liye
Jaan re, jaan re aaja tujhmein sama jaaoon main
Dil re, dil re teri saanson mein bas jaaoon main

Chaahat hai agar aake mujhse mil ja tu Ya phir aisa kar, dharti se mila de mujhko
Tu hi re, tu hi re tere bina main kaise jiyun
Aaja re, aaja re yoon hi tadpa na tu mujhko

Sau baar bulaaye main sau baar aaoon
Ik baar jo dil diya
Ik aankh roye to dooji bolo
Soyegi kaise bhala
In pyaar ki raahon mein patthar hain kitne
Un sab ko hi paar kiya
Ik nadi hoon main chaahat bhari aaj milne
Sagar ko aayi yahaan
Sajna, sajna aaj aansu bhi meethe lage

Tu hi re, tu hi re tere bina main kaise jiyu
Aaja re, aaja re yoon hi tadpa na tu mujhko
Jaan re, jaan re in sanson mein bas ja tu
Chand re, chand re aaja dil ki zameen pe tu

Pal-pal, pal-pal waqt to beeta jaaye re
Zara bol, zara bol waqt se ke woh tham jaaye re
Aayi re, aayi re le main aayi hoon tere liye
Jaan re, jaan re aaja tujhmein sama jaaoon main