Sheher Lyrics - Gulaal


Sheher Lyrics from Gulaal is Hindi song in the voices of Piyush Mishra, Swanand Kirkire. Sheher song lyrics are written by Piyush Mishra, its music is given by Piyush Mishra. Gulaal is a 2009 Hindi movie starring Raj Singh Chaudhary, Kay Kay Menon and Deepak Dobriyal.

Sheher Lyrics - Gulaal

Sheher Song Detail


Song: Sheher
Album: Gulaal (2009)
Singer: Piyush Mishra, Swanand Kirkire
Musician: Piyush Mishra
Lyricist: Piyush Mishra
Star Cast: Raj Singh Chaudhary, Kay Kay Menon, Deepak Dobriyal etc.

Sheher Lyrics

Aye ek wakht ki baat batayein
Ek wakht ki
Jab sheher hamaro so gayo tho
Woh raat gajab ki

Aye ek wakht ki baat batayein
Ek wakht ki
Jab sheher hamaro so gayo tho
Woh raat gajab ki

Hey chahu aur sab ore disha se
Laali chhaayi re

Jugni nache choonar odhe
Khoon nahayi re

Chahu aur sab ore disha se
Laali chhaayi re
Jugni nache choonar odhe
Khoon nahayi re

Sab oro gulaal put gayo
Sab oro mein
Hey sab oro gulaal put gayo
Bipda chhaayi re

Jis raat gagan se
Khoon ki baarish aayi re Jis raat sheher mein
Khoon ki baarish aayi re

Jis raat gagan se
Khoon ki baarish aayi re
Jis raat sheher mein
Khoon ki baarish aayi re

Sarabor ho gayo sheher aur
Sarabor ho gayi dhara
Sarabor ho gayo re jattha
Insaanon ka pada pada

Sabhi jagat yeh poochhe tha
Jab itna sab kuchh ho rayo tho
To sheher hamara kahe bhaisaab
Aankh mood ke so rayo tho
Ho sheher yeh bolyo
Neend gajab ki aisi aayi re

Jis raat gagan se
Khoon ki baarish aayi re
Jis raat sheher mein
Khoon ki baarish aayi re
Jis raat sheher mein
Khoon ki baarish aayi re

Sannata veerana khamoshi anjaani
Zindagi leti hai karvatein tufani
Ghirte hain saaye ghanere se
Rookhe baalon ko bikhere se
Badhte hain andhere pishachon se
Kaanpe hai jee unke naachon se

Kahin pe woh jooton ki khat khat hai
Kahin pe alawon ki chat pat hai
Kahin pe hai jheengur ki aawazein
Kahin pe woh nalke ki tap tap hai

Kahin pe woh kaali si khidki hai
Kahin woh andheri si chimni hai
Kahin hilte pedon ka jattha hai
Kahin kuchh munderon pe rakha hai
Re re re re re re re re
Ho ho ho ho

Sunsaan gali ke nukkad par
Jo koyi kutta cheekh cheekh kar rota hai
Jab lamp post ki gandli peeli
Ghupp roshni mein kuchh kuchh sa hota hai

Jab koyi saaya khud ko thoda
Bacha bacha kar gum saayon mein khota hai
Jab pul ke khambhon ko gaadi ka
Garam ujala dheeme dheeme dhota hai

Tab sheher hamara sota hai
Tab sheher hamara sota hai
Tab sheher hamara sota hai
Ho ho ho ho ho

Jab sheher hamara sota hai
To malum tumko haan kya kya kya hota hai
Idhar jaagti hai laashein
Zinda ho murda udhar zindagi khota hai

Idhar cheekhti hai dahauan
Khairati us aspataal mein bifri si
Aankh mein uske agle hi pal
Garam maas ka naram lothda hota hai

Idhar uthi har takraarein
Jismon ke jhatpat len den mein oonchi si
Udhar ghaav se riste khoon ko
Door guzarti aakhein dekhe rookhi si
Lekin usko leke rang birange
Mehlon mein gunjayish hoti hai

Nashe mein doobe sehan se
Khoonkhar chutkulon ki paidaish hoti hai
Adh nange jismon ki dekho
Lipi puti se lagi numaayish hoti hai
Laar tapakte chehron ko
Kuchh shitaani karne ki khwahish hoti hai

Woh poochhe hain hairan hokar
Aisa sab kuchh hota hai kab
Woh batlao to unko aisa
Tab tab tab tab hota hai

Jab sheher hamara sota hai
Jab sheher hamara sota hai
Jab sheher hamara sota hai
Ho ho ho ho ho