O Ri Duniya Lyrics - Gulaal | Piyush Mishra




O Ri Duniya Lyrics from Gulaal is Hindi song sung by Piyush Mishra. O Ri Duniya song lyrics are written by Piyush Mishra, its tune is also made by him. Gulaal is a 2009 Hindi movie starring Raj Singh Chaudhary, Kay Kay Menon and Deepak Dobriyal.

O Ri Duniya Lyrics - Gulaal | Piyush Mishra

O Ri Duniya Song Detail


Song: O Ri Duniya
Album: Gulaal (2009)
Singer: Piyush Mishra
Musician: Piyush Mishra
Lyricist: Piyush Mishra
Star Cast: Raj Singh Chaudhary, Kay Kay Menon, Deepak Dobriyal etc.

O Ri Duniya Lyrics

O ri duniya
O ri duniya
Aye o ri duniya

Aye surmayi aankhon ke
Pyalon ki duniya o duniya
Surmayi aankhon ke
Pyalon ki duniya o duniya
Satrangi rangon
Gulaalon ki duniya o duniya
Satrangi rangon
Gulaalon ki duniya o duniya

Alsaayi sejon ke phoolon ki duniya
O duniya re
Angdayi tode kabootar ki duniya
O duniya re

Aye karvat le soyi hakeekat ki duniya
O duniya
Deewani hoti tabiyat ki duniya
O duniya

Khwahish mein lipti zarurat ki duniya
O duniya re
Aye insaan ke sapnon ki neeyat ki duniya
O duniya

O ri duniya o ri duniya
O ri duniya o ri duniya
Yeh duniya agar mil bhi jaaye to kya hai
Yeh duniya agar mil bhi jaaye to kya hai
Yeh duniya agar mil bhi jaaye to kya hai

Mamta ki bikhri kahaani ki duniya
O duniya
Behnon ki siski jawani ki duniya
O duniya

Aadam ke hawwa se rishte ki duniya
O duniya re
Aye shayar ke pheeke lafzon ki duniya
O duniya

Ghalib ke momin ke khwaabon ki duniya
Majazon ke un inqlaabon ki duniya
Ghalib ke momin ke khwaabon ki duniya
Majazon ke un inqlaabon ki duniya
Faiz firaqon sahir o makhdoom
Bheer ki zauk ki daagon ki duniya

Yeh duniya agar mil bhi jaaye to kya hai
Yeh duniya agar mil bhi jaaye to kya hai
Yeh duniya agar mil bhi jaaye to kya hai

Palchhin mein baatein chali jaati hain hain
Palchhin mein raatein chali jaati hain hain
Reh jaata hai jo savera woh dhoondhe
Jalte makaan mein basera woh dhoondhe

Jaisi bachi hai waisi ki waisi
Bacha lo yeh duniya
Apna samajh ke apnon ke jaisi
Utha lo yeh duniya

Chhitput si baaton mein jalne lagegi
Sambhalo yeh duniya
Kat-pit ke raaton mein palne lagegi
Sambhalo yeh duniya
O ri duniya
O ri duniya

Woh kahe hai ki duniya
Yeh itni nahi hai
Sitaron se aage jahan aur bhi hain
Yeh hum hi nahi hain
Wahan aur bhi hain
Hamari har ek baat hoti wahin hai
Hamein aitraz nahi hai kahin bhi
Woh aayi hain faazil hain sahi bhi
Magar falsafa yeh bigad jaata hai
Jo woh kehte hain

Aalim yeh kehta wahan ishwar hai
Faazil yeh kehta wahan allah hai
Kabil yeh kehta wahan isa hai
Manzil yeh kehti tab insaan se ki
Tumhari hai tum hi sambhalo yeh duniya

Yeh bujhte huye chand baasi charagon
Tumhare yeh kale iraadon ki duniya

O ri duniya
O ri duniya
O ri duniya