Sawan Aawan Keh Gaye Lyrics - Kanhaiya


Sawan Aawan Keh Gaye Lyrics from Kanhaiya is Hindi song sung by Lata Mangeshkar and music is given by Shankar Jaikishan. Sawan Aawan Keh Gaye song lyrics are written by Shailendra. Kanhaiya is a 1959 Hindi movie starring Raj Kapoor, Nutan and Lalita Pawar.

Sawan Aawan Keh Gaye Lyrics - Kanhaiya

Sawan Aawan Keh Gaye Song Detail


Song: Sawan Aawan Keh Gaye
Album: Kanhaiya (1959)
Singer: Lata Mangeshkar
Musician: Shankar Jaikishan
Lyricist: Shailendra
Star Cast: Raj Kapoor, Nutan, Lalita Pawar etc.

Sawan Aawan Keh Gaye Lyrics

Sawan aawan keh gaye
Kar gaye kaal anek
Ginte ginte ghis gayi
Ungliyon ki rekh

Ho dil mein sama ke milne na aaye
Kaise tum apne kaise paraye
Ho dil mein sama ke milne na aaye
Kaise tum apne kaise paraye
Ho dil mein sama ke

Tujhe taaron ne dekha

Tujhe chanda ne dekha
Ek hum hi abhage
Tujhe humne na dekha
Mere sapnon mein aaye
Par aise na aaye

Ho dil mein sama ke milne na aaye
Kaise tum apne kaise paraye
Ho dil mein sama ke milne na aaye
Kaise tum apne kaise paraye
Ho dil mein sama ke

Tujhe akhiyan bulayein
Sooni ratiyan bulayein Aake mil ja Kanhaiya
Haaye hum kaise aayein
Mere naina lage na
Jabse naina lagaye

Ho dil mein sama ke milne na aaye
Kaise tum apne kaise paraye
Ho dil mein sama ke milne na aaye
Kaise tum apne kaise paraye
Ho dil mein sama ke milne na aaye
Kaise tum apne kaise paraye
Ho dil mein sama ke