Sab Mein Shamil Ho Magar Lyrics - Bahu Beti




Sab Mein Shamil Ho Magar Lyrics of Bahu Beti (1965): This is a lovely song from Bahu Beti starring Joy Mukherjee, Mala Sinha, Ashok Kumar and Mehmood. It is sung by Mohammad Rafi and composed by Ravi. Bahu Beti is a 1965 Hindi movie starring Joy Mukherjee, Mala Sinha and Ashok Kumar.

Sab Mein Shamil Ho Magar Lyrics

Sab mein shamil ho magar
Sabse juda lagti ho
Sab mein shamil ho magar
Sabse juda lagti ho
Sirf humse nahi khud se bhi khafa lagti ho
Sab mein shamil ho magar

Aankh uthti hai na jhukti hai kisi ki khatir
Aankh uthti hai na jhukti hai kisi ki khatir
Saans chadhti hai na rukti hai kisi ki khatir
Jo kisi dar pe na thehre woh hawa lagti ho
Sirf humse nahi khud se bhi khafa lagti ho
Sab mein shamil ho magar

Zulf lehraye to anchal mein chhupa leti ho
Zulf lehraye to anchal mein chhupa leti ho
Honth tharraye to daanton mein daba leti ho
Jo kabhi khul ke na barse woh ghata lagti ho
Sirf humse nahi khud se bhi khafa lagti ho
Sab mein shamil ho magar

Jaagi-jaagi nazar aati ho na soyi-soyi
Jaagi-jaagi nazar aati ho na soyi-soyi
Tum jo ho apne khayalat mein khoyi-khoyi
Kisi mayoos musavvwir ki dua lagti ho Sirf humse nahi khud se bhi khafa lagti ho
Sab mein shamil ho magar




Sab Mein Shamil Ho Magar Song Detail


Song: Sab Mein Shamil Ho Magar
Album: Bahu Beti (1965)
Singer: Mohammad Rafi
Musician: Ravi
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Star Cast: Joy Mukherjee, Mala Sinha, Ashok Kumar etc.