Naseeb Mein Jiske Jo Likha Tha Lyrics - Do Badan

Lyrics of Naseeb Mein Jiske Jo Likha Tha from film Do Badan. Mohammad Rafi has given his beautiful voice to this song. Its lyrics are written by Shakeel Badayuni. This song is an beautiful composition of Ravi. Do Badan is a 1966 romantic Hindi movie starring Manoj Kumar, Asha Parekh, Pran, Simi Garewal and Dhumal. It is produced by Huda Bihari and directed by Raj Khosla. Lyrics of Naseeb Mein Jiske Jo Likha Tha song is given below.

Naseeb Mein Jiske Jo Likha Tha Lyrics - Do Badan

Naseeb Mein Jiske Jo Likha Tha Song Detail


Song: Naseeb Mein Jiske Jo Likha Tha
Album: Do Badan (1966)
Singer: Mohammad Rafi
Musician: Ravi
Lyricist: Shakeel Badayuni
Star Cast: Manoj Kumar, Asha Parekh, Pran, Simi Garewal, Dhumal etc.
Director: Raj Khosla

Naseeb Mein Jiske Jo Likha Tha Lyrics

Naseeb mein jiske jo likha tha
Woh teri mehfil mein kaam aaya
Naseeb mein jiske jo likha tha
Woh teri mehfil mein kaam aaya
Kisi ke hisse mein pyas aayi
Kisi ke hisse mein jaam aaya
Naseeb mein jiske jo likha tha

Main ek fasana hoon bekasi ka
Yeh haal hai meri zindagi ka
Main ek fasana hoon bekasi ka
Yeh haal hai meri zindagi ka
Yeh haal hai meri zindagi ka
Na husn hi mujhko raas aaya
Na ishq hi mere kaam aaya
Naseeb mein jiske jo likha tha

Badal gayin teri manzilein bhi
Bichad gaya main bhi karwan se
Badal gayin teri manzilein bhi
Bichad gaya main bhi karwan se
Bichad gaya main bhi karwan se
Teri mohabbat ke raaste mein
Na jaane yeh kya maqaam aaya
Naseeb mein jiske jo likha tha

Tujhe bhulane ki koshishein bhi
Tamaam nakaam ho gayi hain
Tujhe bhulane ki koshishein bhi
Tamaam nakaam ho gayi hain
Tamaam nakaam ho gayi hain
Kisi ne zikr-e-wafaa kiya jab
Zuban pe tera hi naam aaya
Naseeb mein jiske jo likha tha
Woh teri mehfil mein kaam aaya
Kisi ke hisse mein pyas aayi
Kisi ke hisse mein jaam aaya
Naseeb mein jiske jo likha tha