Bhari Duniya Mein Aakhir Lyrics - Do Badan


Bhari Duniya Mein Aakhir Lyrics: This is the excellent song of Manoj Kumar, Asha Parekh, Pran and Simi Garewal starrer Do Badan. Bhari Duniya Mein Aakhir is sung by Mohammad Rafi and composed by Ravi. Do Badan is a 1966 Hindi movie starring Manoj Kumar, Asha Parekh and Pran.

Bhari Duniya Mein Aakhir Lyrics - Do Badan

Bhari Duniya Mein Aakhir Song Detail


Song: Bhari Duniya Mein Aakhir
Album: Do Badan (1966)
Singer: Mohammad Rafi
Musician: Ravi
Lyricist: Shakeel Badayuni
Star Cast: Manoj Kumar, Asha Parekh, Pran etc.

Bhari Duniya Mein Aakhir Lyrics

Bhari duniya mein aakhir dil ko
Samjhane kahan jaayein
Bhari duniya mein aakhir dil ko
Samjhane kahan jaayein
Mohabbat ho gayi jinko
Woh dewane kahan jaayein
Bhari duniya mein aakhir dil ko
Samjhane kahan jaayein
Bhari duniya

Lage hain shamma par pehre

Zamane ki nigaahon ke
Lage hain shamma par pehre
Zamane ki nigaahon ke
Zamane ki nigaahon ke
Jinhein jalne ki hasrat hai
Jinhein jalne ki hasrat hai
Woh parwane kahan jaayein
Mohabbat ho gayi jinko
Woh dewane kahan jaayein
Bhari duniya mein aakhir dil ko
Samjhane kahan jaayein
Bhari duniya

Sunana bhi jinhein mushkil
Chhupana bhi jinhein mushkil
Sunana bhi jinhein mushkil
Chhupana bhi jinhein mushkil
Chhupana bhi jinhein mushkil
Zara tu hi bata aye dil
Zara tu hi bata aye dil
Woh afsane kahan jaayein
Mohabbat ho gayi jinko
Woh dewane kahan jaayein
Bhari duniya mein aakhir dil ko
Samjhane kahan jaayein
Bhari duniya

Nazar mein uljhanein dil mein
Hai aalam beqaraari ka
Nazar mein uljhanein dil mein
Hai aalam beqaraari ka
Hai aalam beqaraari ka
Samajh mein kuchh nahi aata
Samajh mein kuchh nahi aata
Sukun paane kahan jaayein
Mohabbat ho gayi jinko
Woh dewane kahan jaayein
Bhari duniya mein aakhir dil ko
Samjhane kahan jaayein
Bhari duniya