Na Aadmi Ka Koi Bharosa Lyrics - Aadmi


Na Aadmi Ka Koi Bharosa Lyrics from Aadmi is Hindi song sung by Mohammed Rafi. Na Aadmi Ka Koi Bharosa song lyrics are written by Shakeel Badayuni, its music is given by Naushad Ali. Aadmi is a 1968 Hindi movie starring Dilip Kumar, Waheeda Rehman and Manoj Kumar.

Na Aadmi Ka Koi Bharosa Lyrics - Aadmi

Na Aadmi Ka Koi Bharosa Song Detail


Song: Na Aadmi Ka Koi Bharosa
Album: Aadmi (1968)
Singer: Mohammed Rafi
Musician: Naushad Ali
Lyricist: Shakeel Badayuni
Star Cast: Dilip Kumar, Waheeda Rehman, Manoj Kumar etc.

Na Aadmi Ka Koi Bharosa Lyrics

Teri mohabbat pe shak nahi hai
Teri wafaon ko maanta hoon
Magar tujhe kiski aarzu hai
Main yeh hakikat bhi janta hoon

Na aadmi ka koi bharosa
Na dosti ka koyi thikana
Wafa ka badla hai bewafai
Ajab zamana hai yeh zamana
Na aadmi ka koi bharosa

Na husn mein ab woh dilkashi hai

Na ishq mein ab woh zindagi hai
Jidhar nigahein utha ke dekho
Sitam hai dhokha hai berukhi hai

Badal gaye zindagi ke naghame
Bikhar gaya pyar ka tarana
Badal gaye zindagi ke naghame
Bikhar gaya pyar ka tarana
Na aadmi ka koi bharosa

Dawa ke badle mein zehar de do
Utaar do mere dil mein khanjar
Lahu se seencha tha jis chaman ko
Uge hain shole usi ke andar

Mere hi ghar ke charag ne khud
Jala diya mera aashiyana
Mere hi ghar ke charag ne khud
Jala diya mera aashiyana

Na aadmi ka koi bharosa
Na dosti ka koyi thikana
Wafa ka badla hai bewafai
Ajab zamana hai yeh zamana