Kaisi Haseen Aaj Baharon Ki Raat Hai Lyrics - Aadmi


Kaisi Haseen Aaj Baharon Ki Raat Hai Lyrics from Aadmi is Hindi song in the voices of Mohammed Rafi, Talat Mahmood. Kaisi Haseen Aaj Baharon Ki Raat Hai song lyrics are written by Shakeel Badayuni, its music is given by Naushad Ali. Aadmi is a 1968 Hindi movie starring Dilip Kumar, Waheeda Rehman and Manoj Kumar.

Kaisi Haseen Aaj Baharon Ki Raat Hai Lyrics - Aadmi

Kaisi Haseen Aaj Baharon Ki Raat Hai Song Detail


Song: Kaisi Haseen Aaj Baharon Ki Raat Hai
Album: Aadmi (1968)
Singer: Mohammed Rafi, Talat Mahmood
Musician: Naushad Ali
Lyricist: Shakeel Badayuni
Star Cast: Dilip Kumar, Waheeda Rehman, Manoj Kumar etc.

Kaisi Haseen Aaj Baharon Ki Raat Hai Lyrics

Kaisi haseen aaj
Baharon ki raat hai
Ek chand aasmaan pe hai
Ek mere sath hai

Oh dene wale toone to
Koyi kami na ki
Ab kisko kya mila
Yeh mukaddar ki baat hai

Chhaya hai husn-o-ishq pe
Ek range bekhudi

Chhaya hai husn-o-ishq pe
Ek range bekhudi

Aate hain zindagi mein yeh
Aalam kabhi kabhi
Har gham ko bhool jao
Khushi ki baraat hai
Ek chand aasmaan pe hai
Ek mere sath hai

Aayi hai woh bahaar ke
Naghme ubal pade
Aisi khushi mili hai ke
Aansu nikal pade

Hothon pe hain duwayein
Magar dil pe hath hai
Ab kisko kya mila
Yeh mukaddar ki baat hai

Masti simat ke pyar ke
Gulshan mein aa gayi
Masti simat ke pyar ke
Gulshan mein aa gayi

Meri khushi bhi aapke
Daaman mein aa gayi
Bhanwra kali se door nahi
Sath sath hai
Ab kisko kya mila
Yeh mukaddar ki baat hai

Kaisi haseen aaj
Baharon ki raat hai
Ek chand aasmaan pe hai
Ek mere sath hai