Meri Marzi Lyrics - Gambler


Meri Marzi Lyrics from Gambler is Hindi song sung by Devang Patel. Meri Marzi song lyrics are written by Vinay Dave, its music is given by Anu Malik. Gambler is a 1995 Hindi movie starring Govinda, Shilpa Shetty and Aditya Pancholi.

Meri Marzi Lyrics - Gambler

Meri Marzi Song Detail


Song: Meri Marzi
Album: Gambler (1995)
Singer: Devang Patel
Musician: Anu Malik
Lyricist: Vinay Dave
Star Cast: Govinda, Shilpa Shetty, Aditya Pancholi etc.

Meri Marzi Lyrics

Meri marzi
Main chahe yeh karun
Main chahe woh karun
Main chahe yahan jaaun
Main chahe wahan jaaun

Gore ko main kahun kala
Jija ko mai bolun saala
Nadi ko main bolun naala
Chaabhi bina kholun taala

Mere baare mein kuchh kehna nahi

Chupchap baithe raho bolna nahi
Mujhe samajhana mat jhooth sahi
Chahe pee jaaun main chai coffee
Daal ke dahi

Meri marzi
Har chaurahe par
Main apni murti lagwaun
News paper kaat ke
Apna suit main banwaun
Hospital mein jaake
Main zoron se chillaun
Pehalwan ko god mein Leke lori sunaun
Do sau teen sau char sau ke
Chhapwaun nakli note
Aalu tamatar ko
Maarun criket ke shot

Swimming pool mein tairne jaaun
Pehan ke kurta dhoti
Badi lottery lage kabhi to
Rakhu soorat roti
Mujhe ab roko nahi
Mujhe ab toko nahi
Mera kaha sun ke
Tum aise ab chaunko nahi

Nakli daadhi muchh laga ke
Ban jaaun main chor
Apne ghar mein chori karke
Khoob machaun shor
Paani pe main rashan rakhun
Muft mein bechun tel
Kankar patthar dhool daal ke
Dabko de doon bhel

Main chahe yeh karun
Main chahe woh karun
Meri marzi

Meri marzi
Main apni shaadi mein na jaaun
Meri marzi
Main pairon se table bajwaun
Meri marzi
Main beech sadak bistar lagwaun
Meri marzi
Main qutub minar pe ghar banwaun
Meri marzi

Aadhi raat ko chhat pe chadhun
Bajaun shehnai
Har chehre se daadhi muchh ki
Kar doon main safai
Bete ko main bapu keh doon
Pote ko main daddu
Roz savere uth ke khaun
Gyarah kacche kaddu
Sar ko ganja karwa ke
Do foot ki rakhun choti
Shaadi ki baraat mein jaaun
Pehan ke main langolti
Gadhe ki main dum pakad ke
Usko maarun laat
Sher ko apne paas bula ke
Jhaapad maarun saat

Mujhe ab roko nahi
Mujhe ab toko nahi
Mera kaha sun ke
Tum aise ab chaunko nahi

Shok sabha mein dhol bajaun
Saath mein gaana gaaun
Pyaj ka perfume laga ke
Roz main office jaaun
Do botal paani peeke
Main daayein baayein dolun
Chalte hawai jahaj ke
Main sab darwaje kholun

Main chahe yeh karun
Main chahe woh karun
Meri marzi

Meri marzi
Main bina sur ke gaane gaaun
Meri marzi
Main baghair ticket bhi
Plane mein jaaun
Meri marzi
Main sheeshe se pathar ko todun
Meri marzi
Main paani ke upar bhu daudun
Meri marz

Tie ki jagah main bandhun
Lamba kala naag
Safed kurte par lagwaun
Boot polish ke daag
Tyoharon mein pehan ke niklun
Main jooton ka haar
Bailon ke peechhe lagwaun
Main to motor car
Rasagulle mein mirchi daalun
Doodh mein daalun whisky
Apni gharwali se poochhu
Tu hai biwi kiski
Taange wale se udwaun
Boeing jumbo jet
Bhikhari ko bheekh mein de doon
Do bedroom ka flat

Mujhe ab roko nahi
Mujhe ab toko nahi
Mera kaha sun ke
Tum aise ab chaunko nahi

Halwayi ko naai keh doon
Dhobi ko main maali
Film faaltu dekh ke
Main to khoob bajaun taali
Sar pe apne moje pehnun
Hath mein pahnun boot
Petrol ke sang oil mila ke
Maarun do do ghoont

Main chahe yeh karun
Main chahe woh karun
Meri marzi

Meri marzi
Main suit ke sang pehnunga saari
Meri marzi
Main bandhun punchh apne pichwadi
Meri marzi
Main bhooton ki tasveerein kheenchun
Meri marzi
Main sharbat se kheton ko seenchun
Meri marzi

News reader ko main bolun
Gao tum kawwali
Lecture de koyi to keh doon
Chup ho ja mawali
Rishwat lene walon se
Main mangunga concession
Doctor ke hathon pe maarun
Ghode ka injection
Jhooth bole ke choron ko
Pehnaunga choli
Desh ke sab gaddaron ko
Maruga main goli
Kala dhan lene walon ko
Doonga nakli note
Dhongi samaj sewak ko
Na doonga apna vote

Mujhe ab roko nahi
Mujhe ab toko nahi
Mera kaha sun ke
Tum aise ab chaunko nahi

Kaumi danga kare jo
Usko lagwaunga jail
Phansi dekar aatankawad ka
Khatam karunga khel
Main jeewan ka yeh gaana
Meri marzi se gaaun
Main meri marzi se jiyun
Marzi se mar jaaun

Main chahe yeh karun
Main chahe woh karun
Meri marzi

Meri marzi
Aye lafde jhagde gayab hoja
Meri marzi
Aye desh ke dushman tu chup hoja
Meri marzi
Aye Bharat desh tu aage hoja
Meri marzi
Aye meri marzi tu sach hoja
Meri marzi

Main chahe yeh karun
Main chahe woh karun
Main chahe yahan jaaun
Main chahe wahan jaaun

Gore ko main kahun kala
Jija ko mai bolun saala
Nadi ko main bolun naala
Chaabhi bina kholun taala

Mere baare mein kuchh kehna nahi
Chupchap baithe raho bolna nahi
Mujhe samajhana mat jhooth sahi
Chahe pee jaaun main chai coffee
Daal ke dahi

Marunga main sau joote
Jo lagaoge lanchhan
Mar jaoge khud hi jo
Sacche ko doge tension
Bhoole se bhi lena nahi
Tum mera naam
Gaana mera suno
Aur karo apna kaam
Meri marzi

Ab mere ko nahi gaane ka hai
Meri marzi