Marna Bhi Mohabbat Mein Lyrics - Azaad




Marna Bhi Mohabbat Mein Lyrics from Azaad is Hindi song sung by Rangnath Jadhav. Marna Bhi Mohabbat Mein song lyrics are written by Rajendra Krishan, its music is given by C Ramchandra. Azaad is a 1955 Hindi movie starring Dilip Kumar, Meena Kumari and Pran.

Marna Bhi Mohabbat Mein Lyrics

Marna bhi mohabbat mein
Kisi kaam na aaya
Marna bhi mohabbat mein
Kisi kaam na aaya

Di jaan magar deke bhi
Aaram na aaya
Di jaan magar de ke bhi
Aaram na aaya

Haan kehte hain jise ishq
Qayamat ki bala hai
Shola hai kabhi aur kabhi
Baad-e-saba hai

Haan ashqon ka samadar hai
To aahon ka khazana
Sunte chale aaye hai
Azal se yeh fasana
Is kisse ka lekin kabhi
Anjaam na aaya
Is kisse ka lekin kabhi
Anjaam na aaya

Marna bhi mohabbat mein
Kisi kaam na aaya
Ho kisi kaam na aaya
Di jaan magar deke bhi
Aaram na aaya
Di jaan magar de ke bhi
Aaram na aaya

Haan marne ki mohabbat mein
Ada aur hi kuchh hai
Is zehar ke peene ka maza
Aur hi kuchh hai

Haan marte hain to marne ki
Shikayat nahi karte
Dilwale dikhawe ki
Mohabbat nahi karte

Ab tak to mohabbat mein
Yeh ilzaam na aaya
Ab tak to mohabbat mein
Yeh ilzaam na aaya

Marna bhi mohabbat mein
Kisi kaam na aaya
Ho kisi kaam na aaya
Di jaan magar deke bhi
Aaram na aaya
Di jaan magar de ke bhi
Aaram na aaya

Haan hota na agar ishq to
Duniya bhi na hoti
Jeene ki kisi dil mein
Tamanna bhi na hoti

Haan bijali mein chamak
Taaron mein yeh noor na hota
Lehron ko machalna
Kabhi manzoor na hota

Kya lutf jo hothon pe
Yeh hi jaam na aaya
Kya lutf jo hothon pe
Yeh hi jaam na aaya

Marna bhi mohabbat mein
Kisi kaam na aaya
Ho kisi kaam na aaya
Di jaan magar deke bhi
Aaram na aaya
Di jaan magar de ke bhi
Aaram na aaya

Marna bhi mohabbat mein
Kisi kaam na aaya




Marna Bhi Mohabbat Mein Song Detail


Song: Marna Bhi Mohabbat Mein
Album: Azaad (1955)
Singer: Rangnath Jadhav
Musician: C. Ramchandra
Lyricist: Rajendra Krishan
Star Cast: Dilip Kumar, Meena Kumari, Pran etc.