Kabhi Khamosh Rehte Hain Lyrics - Azaad




Kabhi Khamosh Rehte Hain Lyrics from Azaad is Hindi song sung by Lata Mangeshkar. Kabhi Khamosh Rehte Hain song lyrics are written by Rajendra Krishan, its music is given by C Ramchandra. Azaad is a 1955 Hindi movie starring Dilip Kumar, Meena Kumari and Pran.

Kabhi Khamosh Rehte Hain Lyrics

Kabhi khamosh rehte hain
Kabhi hum aah bharte hain
Kisi ke vaaste kya kya sitam
Is dil pe karte hain

Jo woh nazron mein nazrein daal kar
Khud humse yeh poochhein
To dil pe haath rakh kar
Hum bhi keh dein
Kya
Tum pe marte hain
Wah wah wah subhan allah

Pee ke daras ko taras rahi akhiyan
Pee ke daras ko taras rahi akhiyan
Taras rahi akhiyan baras rahi akhiyan
Taras rahi akhiyan baras rahi akhiyan
Pee ke daras ko taras rahi akhiyan

Na samjha hai na samjhega
Zamana dastaan meri
Meri khamoshiyan hi
Aajkal hain raazdan meri

Koyi kadmon mein unke jaake
Rakh aaye mere dil ko
Ke unke saamne khulti nahi
Zaalim zaban meri

Pee ke daras ko taras rahi akhiyan
Pee ke daras ko taras rahi akhiyan
Taras rahi akhiyan baras rahi akhiyan
Taras rahi akhiyan baras rahi akhiyan
Pee ke daras ko taras rahi akhiyan

Kisi ka hoke bhi
Usse juda rehna hi padta hai
Mohabbat ne diya jo gham
Woh gham sehna hi padta hai

Aa kahan tak dard-e-dil koyi
Chhupaye apne seene mein
Tadap uthta hai jab yeh dil
To phir kehna hi padta hai
Kya

Pee ke daras ko taras rahi akhiyan
Pee ke daras ko taras rahi akhiyan
Taras rahi akhiyan baras rahi akhiyan
Taras rahi akhiyan baras rahi akhiyan
Pee ke daras ko taras rahi akhiyan
Pee ke daras ko taras rahi akhiyan




Kabhi Khamosh Rehte Hain Song Detail


Song: Kabhi Khamosh Rehte Hain
Album: Azaad (1955)
Singer: Lata Mangeshkar
Musician: C. Ramchandra
Lyricist: Rajendra Krishan
Star Cast: Dilip Kumar, Meena Kumari, Pran etc.