Jiske Liye Sabko Chhoda Lyrics - Saajan Ki Saheli


Jiske Liye Sabko Chhoda Lyrics from Saajan Ki Saheli is Hindi song in the voices of Mohammed Rafi, Sulakshana Pandit. Jiske Liye Sabko Chhoda song lyrics are written by Majrooh Sultanpuri, its music is given by Usha Khanna. Saajan Ki Saheli is a 1981 Hindi movie starring Nutan, Rekha and Rajendra Kumar.

Jiske Liye Sabko Chhoda Lyrics - Saajan Ki Saheli

Jiske Liye Sabko Chhoda Song Detail


Song: Jiske Liye Sabko Chhoda
Album: Saajan Ki Saheli (1981)
Singer: Mohammed Rafi, Sulakshana Pandit
Musician: Usha Khanna
Lyricist: Majrooh Sultanpuri
Star Cast: Nutan, Rekha, Rajendra Kumar etc.

Jiske Liye Sabko Chhoda Lyrics

Jiske liye sabko chhoda
Usi ne mere dil ko toda
Jiske liye sabko chhoda
Usi ne mere dil ko toda
Woh bewafa woh bewafa
Kisi aur ke sajan ki saheli ho gayi

Tujhse pyara koyi mila
Chhoda tujhe to kyun hai gila
Tujhse pyara koyi mila
Chhoda tujhe to kyun hai gila

Main bewafa haan main bewafa
Kisi aur ke sajan ki saheli ho gayi

Jiske liye sabko chhoda
Usi ne mere dil ko toda

Dekho kya khush hoke
Paayal ko jhankare
Jal ke reh jaaye dil
Aise kare ishare

Dekho kya khush hoke
Paayal ko jhankare
Jal ke reh jaaye dil
Aise kare ishare

Aage mere sitamgar
Ghair ke dil mein baske
Kaisi besharmi se
Baat kare hans hans ke

Kaise kahun kya ho gaya
Kal mera dil thi jo dilruba
Haan kaise kahun kya ho gaya
Kal mera dil thi jo dilruba
Woh bewafa woh bewafa
Kisi aur ke sajan ki saheli ho gayi

Ho tujhse pyara koyi mila
Chhoda tujhe to kyun hai gila

Main tu hoon ek titli
Udne phirne wali
Kaise rahungi baithi
Ek hi dil ki daali

Main tu hoon ek titli
Udne phirne wali
Kaise rahungi baithi
Ek hi dil ki daali

Jab ek se ek badhke
Hain pyaar ke nazare
Phir kyun na lehraun
Kyun na karun ishare

Kaisi sharam kaisi haya
Jabse mila hai sathi naya
Haan kaisi sharam kaisi haya
Jabse mila hai sathi naya
Main bewafa haan main bewafa
Kisi aur ke sajan ki saheli ho gayi

Jiske liye sabko chhoda
Usi ne mere dil ko toda

Pyaar nasha hai aisa
Jis pe chha jaata hai
Aas paas bhi usko
Kam hi nazar aata hai

Pyaar nasha hai aisa
Jis pe chha jaata hai
Aas paas bhi usko
Kam hi nazar aata hai

Maana ke mere dil mein
Pyaari is ik ladki
Aan basi hai phir se
Ban ke shama mere ghar ki

Chaha use to kya hua
Ismein kisi ka jaata hai kya
Haan chaha use to kya hua
Ismein kisi ka jaata hai kya
Woh bewafa haan main bewafa
Kisi aur ke sajan ki saheli ho gayi