Jiska Koi Nahi Uska To Khuda Hai Yaaro Lyrics - Lawaaris
Jiska Koi Nahi Uska To Khuda Hai Yaaro Lyrics of Lawaaris (1981) is penned by Anjaan, it's composed by Kalyanji and Anandji and sung by Kishore Kumar. Lawaaris is a 1981 Hindi movie starring Amitabh Bachchan, Zeenat Aman and Amjad Khan.
![Jiska Koi Nahi Uska To Khuda Hai Yaaro Lyrics - Lawaaris](https://www.lyricsoff.com/images/large-songs/jiska-koi-nahi-uska-to-khuda-hai-yaaro-8565.jpg)
Jiska Koi Nahi Uska To Khuda Hai Yaaro Song Detail
Song: Jiska Koi Nahi Uska To Khuda Hai Yaaro
Album: Lawaaris (1981)
Singer: Kishore Kumar
Musician: Kalyanji, Anandji
Lyricist: Anjaan
Star Cast: Amitabh Bachchan, Zeenat Aman, Amjad Khan etc.
Jiska Koi Nahi Uska To Khuda Hai Yaaro Lyrics
Ik din kisi fakeer ne ik baat kahi thi
Ab ja ke dil ne mana, mana woh baat sahi thi
Jiska koi nahi uska to khuda hai yaaro
Jiska koi nahi uska to khuda hai yaaro
Jiska koi nahi uska to khuda hai yaaro
Main nahin kehta, main nahin kehta
Kitabon mein likha hai yaaro
Jiska koi nahi uska to khuda hai yaaro
Haan khuda hai yaaro
Hum to kya hain
Hum to kya hain woh farishton ko aazmata hai
Hum to kya hain woh farishton ko aazmata hai
Banakar humko mitata hai phir banata hai
Aadmi toot ke
Aadmi toot ke sau baar juda hai yaaro
Jiska koi nahi uska to khuda hai yaaro
Jiska koi nahi uska to khuda hai yaaro
Haan khuda hai yaaro
Imtehanon ka yahan daur yun hi chalta hai
Imtehanon ka yahan daur yun hi chalta hai
Aandhiyon mein bhi ummeedon ka diya jalta hai
Kal ki ummeed pe
Kal ki ummeed pe insaan jiya hai yaaro
Jiska koi nahi uska to khuda hai yaaro
Jiska koi nahi uska to khuda hai yaaro
Haan khuda hai yaaro
Kab talak humse
Kab talak humse takdeer bhala roothegi
Kab talak humse takdeer bhala roothegi
In andheron se ujaale ki kiran phootegi
Gham ke daaman mein
Gham ke daaman mein kahin chain chhupa hai yaaro
Jiska koi nahi uska to khuda hai yaaro
Jiska koi nahi uska to khuda hai yaaro
Main nahin kehta
Main nahin kehta kitabon mein likha hai yaaro
Jiska koi nahi uska to khuda hai yaaro
Haan khuda hai yaaro
Recently Added Songs
- Saaton Janam Mein Tere Lyrics - Ajay Devgn, Raveena Tandon
- Mauka Milega to Hum Bata Denge Lyrics - Dilwale
- Jo Tumhe Chahe Usko Satana Lyrics - Dilwale
- Main Benaam Ho Gaya Lyrics - Narendra Chanchal
- Ek Din Hasana Lyrics - Lata Mangeshkar
- Aa Raat Jaati Hai Lyrics - Amitabh Bachchan
- Tu Shama Main Parwana Tera Lyrics - Khiladi
- Hoke Man Aaj Magan Lyrics - Akshay Kumar
- Akhiyaan Milaoon Kabhi Lyrics - Madhuri Dixit, Sanjay Kapoor
- Nazrein Mili Dil Dhadka Lyrics - Madhuri Dixit, Sanjay Kapoor