Hungama Ho Gaya Lyrics - Anhonee
Hungama Ho Gaya Lyrics from Anhonee is Hindi song sung by Asha Bhosle. Hungama Ho Gaya song lyrics are written by Verma Malik, its music is given by Laxmikant Pyarelal. Anhonee is a 1973 Hindi movie starring Sanjeev Kumar, Satyen Kappu and Asrani.
Hungama Ho Gaya Lyrics
Haan jaam bhi hai
Haan haan shaam bhi hai
Haaye haaye chori nahi
Saara aam bhi hai
Sabne pee hai mujhpe ilzaam kyun hai
Khamkha mera naam badnaam kyun hai
Dekho na logon ne botlon ki botlein
Khatam kar di to kuchh na hua
Magar magar
Maine hothon se lagayi to
Hungama ho gaya
Ha ha ha ha hungama ho gaya
Hungama hungama ho gaya
Mujhe aur ne pilayi to
Hungama ho gaya
Ha ha ha ha hungama ho gaya
Hungama hungama ho gaya
Din ko kasmein khate hain
Tauba tauba karte hain
Din ko kasmein khate hain
Tauba tauba tauba karte hain
Shaam hoti hai to
Phir pyale bharte hain
Raat ko sab peete hain
Subah ko darte hain
Kya kashish hai
Yeh nasha jispe marte hain
Kaise yeh log hain
Pata nahi kya karte hain
Kaun si baat hai ismein
Sab isko apnaate hain
Dekho na
Sabko tamasha dikhate hain
Girte hain ladkhadate hain
Shor machate hain
Unko to aap kuchh nahi kahte
Magar magar
Mujhe hichiki jo aayi to
Hungama ho gaya
Ha ha ha ha hungama ho gaya
Hungama hungama ho gaya
Kyun ghabra gayi sharma gayi
Ya gussa kha gayi
Kyun ghabra gayi sharma gayi
Ya gussa kha gayi
Hath lagane se itna tilmila gaye
Arre husn wale to
Aag laga dete hain
Fanaa kar dete hain
Hosh uda dete hain
Dil jigar chain aaram
Raatein subah dopehar aur shaam
Chheen le jaate hain
Aur aankh chura lete hain
Samne loot'te hain aur aap
Bol nahi paate hain
Dekho na dard thes
Aur zakhm de jaate hain
To aap kuchh nahi kahte hain
Magar magar
Maine aankh jo milayi to
Hungama ho gaya
Ha ha ha ha hungama ho gaya
Hungama hungama ho gaya
Mujhe yaar ne pilayi to
Hungama ho gaya hungama
Hungama Ho Gaya Song Detail
Song: Hungama Ho Gaya
Album: Anhonee (1973)
Singer: Asha Bhosle
Musician: Laxmikant Pyarelal
Lyricist: Verma Malik
Star Cast: Sanjeev Kumar, Satyen Kappu, Asrani etc.
Recently Added Songs
- Kudi Main Hoon Kunwari Lyrics - Twinkle Khanna
- Halka Halka Dard Hai Lyrics - Akshay Kumar
- Chhukar Tere Mann Ko Lyrics - Akshay Kumar
- Tumhe Paa Ke Humne Jahan Paa Liya Hai Lyrics - Rajendra Kumar
- Main Jogiya Jogiya Lyrics - Govinda, Sanjay Dutt
- Jo Majnu The Woh Chale Gaye Lyrics - Govinda, Sanjay Dutt
- Ek Aur Ek Gyarah Lyrics - Govinda, Sanjay Dutt
- Ek Haseen Sham Ko Dil Mera Kho Gaya Lyrics - Mohammed Rafi
- Aapne Apna Banaya Meherbani Aapki Lyrics - Lata Mangeshkar
- Mujhe Kitna Pyar Hai Tumse Lyrics - Dil Tera Diwana