Hawa Chale Kaise Lyrics - Daag




Hawa Chale Kaise Lyrics from Daag is Hindi song sung by Lata Mangeshkar and music is given by Laxmikant Pyarelal. Hawa Chale Kaise song lyrics are written by Sahir Ludhianvi. Daag is a 1973 Hindi movie starring Sharmila Tagore, Rajesh Khanna and Rakhee.

Hawa Chale Kaise Lyrics

Hawa chale kaise
Hawa chale kaise
Na tu jaane na main jaanu
Jaane wohi jaane

Hawa chale kaise
Hawa chale kaise
Na tu jaane na main jaanu
Jaane wohi jaane

Ghata ude kaise
Ghata ude kaise
Na tu jaane na main jaanu
Jaane wohi jaane

Thaam kar ik pankhudi ka
Hath chupke chupke
Phool se titli ne ki
Kya baat chupke chupke
Aa zara karein bata
Woh shayad de bata

Hawa chale kaise
Hawa chale kaise
Na tu jaane na main jaanu
Jaane wohi jaane


Parbaton ke sar par jhukti ghatayein
Daaliyon ko chhooti thandi hawayein
Khamoshi ki lay pe gaati fizayein
Mastiyon mein doobi meethi sadayein

Kaho kaun bheje kaun laaye
Kahan se aaye
Bolo kahan ko jaaye
Tum bhi socho main bhi sochun
Miljul ke boojhein paheli

Hawa chale kaise
Hawa chale kaise
Na tu jaane na main jaanu
Jaane wohi jaane

Bolo barf ki chadar kisne daali hai
Bolo dhudh mein yeh dhoop kisne paali hai
Kaise meethe sapnon ka jaadu chalta hai
Kaise suraj ugta hai chanda dhalta hai

Tumko sab maalum hai teacher
Humko bhi batlao na
Saat samudar paar hai
Ik satranga sansar
Uska jadugar sardar
Rakhta pariyon ka darbaar
Usko aate khel hazaar
Karta sab bachchho se pyar
Jaane jaane jaane wohi jaane




Hawa Chale Kaise Song Detail


Song: Hawa Chale Kaise
Album: Daag (1973)
Singer: Lata Mangeshkar
Musician: Laxmikant Pyarelal
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Star Cast: Sharmila Tagore, Rajesh Khanna, Rakhee etc.