Jab Bhi Ji Chahe (Ek Chehre Pe Kai Chehre) Lyrics - Daag




Jab Bhi Ji Chahe (Ek Chehre Pe Kai Chehre) Lyrics from the movie Daag is sung by Lata Mangeshkar, its music is composed by Laxmikant and Pyarelal and lyrics are written by Sahir Ludhianvi. Daag is a 1973 Hindi movie starring Sharmila Tagore, Rajesh Khanna and Rakhee.

Jab Bhi Ji Chahe (Ek Chehre Pe Kai Chehre) Lyrics

Jab bhi ji chahe nai duniya basa lete hain log
Jab bhi ji chahe nai duniya basa lete hain log
Ek chehre pe kai chehre laga lete hain log
Ek chehre pe kai chehre laga lete hain log
Jab bhi ji chahe nai duniya basa lete hain log
Ek chehre pe kai chehre laga lete hain log
Ek chehre pe kai chehre laga lete hain log

Yaad rehta hai kise guzre zamaane ka chalan
Yaad rehta hai kise
Sard pad jaati hai chahat haar jaati hai lagan
Ab mohabbat bhi hai kya, ik tijarat ke siwa
Hum hi naadan the jo odha beeti yaadon ka kafan
Warna jeene ke liye sab kuchh bhula dete hain log
Warna jeene ke liye sab kuchh bhula dete hain log
Ek chehre pe kai chehre laga lete hain log

Jaane woh kya log the jinko wafa ka paas tha
Jaane woh kya log the
Doosre ke dil pe kya guzregi yeh ehsaas tha
Ab hain patthar ke sanam jinko ehsaas na ho
Woh zamana ab kahan jo ehl-e-dil ko raas tha
Ab to matlab ke liye naam-e-wafa lete hain log
Ab to matlab ke liye naam-e-wafa lete hain log

Jab bhi ji chahe nai duniya basa lete hain log
Ek chehre pe kai chehre laga lete hain log
Ek chehre pe kai chehre laga lete hain log




Jab Bhi Ji Chahe (Ek Chehre Pe Kai Chehre) Song Detail


Song: Jab Bhi Ji Chahe (Ek Chehre Pe Kai Chehre)
Album: Daag (1973)
Singer: Lata Mangeshkar
Musician: Laxmikant, Pyarelal
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Star Cast: Sharmila Tagore, Rajesh Khanna, Rakhee etc.