Hai Jag Mein Jiska Naam Amar Lyrics - Resham Ki Dori
Hai Jag Mein Jiska Naam Amar Lyrics from Resham Ki Dori is Hindi song sung by Manna Dey. Hai Jag Mein Jiska Naam Amar song lyrics are written by Neeraj, its music is given by Shankar Jaikishan. Resham Ki Dori is a 1974 Hindi movie starring Dharmendra, Saira Banu and Kumud Chugani.
Hai Jag Mein Jiska Naam Amar Lyrics
Bolo Siyavar Ramchandra ki jai
Hai jag mein jiska naam amar
Us raghuvar ke gunn gaata hoon
Insano mein bhagwan tha jo
Us Ram ki katha sunata hoon
Insano mein bhagwan tha jo
Us Ram ki katha sunata hoon
Dashrath ke ghar mein janam liya
Toda Shiv dhanush sawayamwar mein
Jab raj tilak ka din aaya
Banvaas mila apne ghar mein
Tab panchvati mein ek roz
Sone ka ek hiran aaya
Jab Ram chale uske peechhe
Rawan Sita ko har laaya
Jab Ram chale uske peechhe
Rawan Sita ko har laaya
Sita shakti jagat ki
Ram satya ka naam
Bheetar baahar sab jagah
Base hain Sita Ram
Bolo Siyavar Ramchandra ki jai
Sita darshan paane ke liye
Mandir mandir ke man bhatke
Sabko bhatkaane wala wohi
Sita ke bina van van bhatke
Raja ko banaya vanvaasi
Dekho ishwar ki maya
Jise chhal na saka koyi bhi use
Sone ke hiran ne bharmaya
Jise chhal na saka koyi bhi use
Sone ke hiran ne bharmaya
Raghuvar ka jab dukh badha
Chale veer Hanuman
Ja pahunche Lanka puri
Karte parbhu ka dhyan
Bol Bajrang bali ki jai
Phoolon ki ek vaatika mein
Vaanar ne dekha Sita ko
Jaakar parbhu ka sandesh diya
Jag jan-ni kunj puneeta ko
Tab Meghnaad ne jaa pakda
Aur poonchh mein aag laga daali
Us agni se Bajrangi ne
Sab Lanka rakh bana daali
Us agni se Bajrangi ne
Sab Lanka rakh bana daali
Ram nama hai punya ka
Rawan paap ka naam
Dono ke sangram ka
Ab dekho parinam
Bolo Siyavar Ramchandra ki jai
Jab teer chale sachchai ke
Aakhir to buraai haar gayi
Aur Ram ki sena naav bina
Pal bhar mein sagar paar gayi
Das sheesh the jiske aur jiske
Ghar maut rahi bankar daasi
Use ek teer se maar gaya
Koyi seedha sachcha banvaasi
Use ek teer se maar gaya
Koyi seedha sachcha banvaasi
Hai Jag Mein Jiska Naam Amar Song Detail
Song: Hai Jag Mein Jiska Naam Amar
Album: Resham Ki Dori (1974)
Singer: Manna Dey
Musician: Shankar Jaikishan
Lyricist: Neeraj
Star Cast: Dharmendra, Saira Banu, Kumud Chugani etc.
Recently Added Songs
- Kudi Main Hoon Kunwari Lyrics - Twinkle Khanna
- Halka Halka Dard Hai Lyrics - Akshay Kumar
- Chhukar Tere Mann Ko Lyrics - Akshay Kumar
- Tumhe Paa Ke Humne Jahan Paa Liya Hai Lyrics - Rajendra Kumar
- Main Jogiya Jogiya Lyrics - Govinda, Sanjay Dutt
- Jo Majnu The Woh Chale Gaye Lyrics - Govinda, Sanjay Dutt
- Ek Aur Ek Gyarah Lyrics - Govinda, Sanjay Dutt
- Ek Haseen Sham Ko Dil Mera Kho Gaya Lyrics - Mohammed Rafi
- Aapne Apna Banaya Meherbani Aapki Lyrics - Lata Mangeshkar
- Mujhe Kitna Pyar Hai Tumse Lyrics - Dil Tera Diwana