Ek Tha Gul Aur Ek Thi Bulbul Lyrics - Jab Jab Phool Khile
Ek Tha Gul Aur Ek Thi Bulbul Lyrics from Jab Jab Phool Khile is Hindi song in the voices of Mohammed Rafi, Nanda. Ek Tha Gul Aur Ek Thi Bulbul song lyrics are written by Anand Bakshi, its music is given by Anandji Virji Shah and Kalyanji Virji Shah. Jab Jab Phool Khile is a 1965 Hindi movie starring Shashi Kapoor, Nanda and Kamal Kapoor.
Ek Tha Gul Aur Ek Thi Bulbul Lyrics
Ek tha gul aur ek thi bulbul
Ek tha gul aur ek thi bulbul
Dono chaman mein rehte the
Hai yeh kahani bilkul sacchi
Mere nana kehte the
Ek tha gul aur ek thi bulbul
Bulbul kuchh aise gaati thi
Aise gaati thi aise gaati thi
Kaise gaati thi
Bulbul kuchh aise gaati thi
Jaise tum baatein karti ho
Woh gul aise sharmata tha
Aise sharmata tha
Aise sharmata tha
Kaise sharmata tha
Woh gul aise sharmata tha
Jaise main ghabra jaata hoon
Bulbul ko malum nahi tha
Gul aise kyun sharmata tha
Woh kya jaane uska naghma
Gul ke dil ko dhadkata tha
Dil ke bhed na aate lab pe
Yeh dil mein hi rahte the
Ek tha gul aur ek thi bulbul
Phir kya hua?
Lekin aakhir dil ki baatein
Aise kitne din chhupti hain
Yeh woh kaliyan hain jo ek din
Bas kaante ban ke chubhti hain
Ek din jaan liya bulbul ne
Woh gul uska deewana hai
Tumko pasand aaya ho to bolun
Phir aage jo afsana hai
Hmm bolo na chup kyun ho gaye?
Ek dooje ka ho jaane par
Woh dono majboor huye
Un dono ke pyar ke kisse
Gulshan mein mash-hoor huye
Sath jiyenge sath marenge
Woh dono yeh kehte the
Ek tha gul aur ek thi bulbul
Phir kya hua?
Phir ek din ki baat sunaun
Ek sayyad chaman mein aaya
Le gaya woh bulbul ko pakad ke
Aur deewana gul murjhaya
Aur deewana gul murjhaya
Shayar log bayan karte hain
Aise unki judai ki baatein
Gaate the yeh geet woh dono
Saiyan bina nahi kat'ti raatein
Saiyan bina nahi kat'ti raatein haaye
Mast baharon ka mausam tha
Aankh se aansu behte the
Ek tha gul aur ek thi bulbul
Aati thi aawaz hamesha
Yeh jhilmil jhilmil taaron se
Jiska naam mohabbat hai woh
Kab rukti hai deewaron se
Ek din aah gul-o-bulbul ki
Us pinjre se ja takrai
Toota pinjra chhoota kaidi
Deta raha sayyad duhai
Rok sake na usko mil ke
Saara zamana saari khudai
Gul saajan ko geet sunane
Bulbul baag mein wapas aayi
Raja bahut acchhi kahani thi
Yaad sada rakhna yeh kahani
Chahe jeena chahe marna
Tum bhi kisi se pyar karo to
Pyar gul-o-bulbul sa karna
Pyar gul-o-bulbul sa karna
Pyar gul-o-bulbul sa karna
Pyar gul-o-bulbul sa karna
Ek Tha Gul Aur Ek Thi Bulbul Song Detail
Song: Ek Tha Gul Aur Ek Thi Bulbul
Album: Jab Jab Phool Khile (1965)
Singer: Mohammed Rafi, Nanda
Musician: Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah
Lyricist: Anand Bakshi
Star Cast: Shashi Kapoor, Nanda, Kamal Kapoor etc.
Recently Added Songs
- Kudi Main Hoon Kunwari Lyrics - Twinkle Khanna
- Halka Halka Dard Hai Lyrics - Akshay Kumar
- Chhukar Tere Mann Ko Lyrics - Akshay Kumar
- Tumhe Paa Ke Humne Jahan Paa Liya Hai Lyrics - Rajendra Kumar
- Main Jogiya Jogiya Lyrics - Govinda, Sanjay Dutt
- Jo Majnu The Woh Chale Gaye Lyrics - Govinda, Sanjay Dutt
- Ek Aur Ek Gyarah Lyrics - Govinda, Sanjay Dutt
- Ek Haseen Sham Ko Dil Mera Kho Gaya Lyrics - Mohammed Rafi
- Aapne Apna Banaya Meherbani Aapki Lyrics - Lata Mangeshkar
- Mujhe Kitna Pyar Hai Tumse Lyrics - Dil Tera Diwana