Deewane Ka Naam To Poochho Lyrics - An Evening In Paris


Deewane Ka Naam To Poochho Lyrics from An Evening In Paris (1967) is penned by Hasrat Jaipuri, it's composed by Shankar and Jaikishan and sung by Mohammad Rafi. An Evening In Paris is a 1967 Hindi movie starring Shammi Kapoor, Sharmila Tagore and K N Singh.

Deewane Ka Naam To Poochho Lyrics - An Evening In Paris

Deewane Ka Naam To Poochho Song Detail


Song: Deewane Ka Naam To Poochho
Album: An Evening In Paris (1967)
Singer: Mohammad Rafi
Musician: Shankar, Jaikishan
Lyricist: Hasrat Jaipuri
Star Cast: Shammi Kapoor, Sharmila Tagore, K N Singh etc.

Deewane Ka Naam To Poochho Lyrics

Deewane ka naam to poochho
Pyar se dekho, kaam to poochho
Chaahe phir na milna
Arre chaahe phir na milna x (2)

Gussa chhodo, baat ko maano
Is bande ko apna jaano
Door se dhokha ha!, ho sakta tha ha!
Door se dhokha ho sakta tha
Paas ho ab to, ab pehchaano
Deewane ka naam to poochho

Pyar se dekho, kaam to poochho
Chaahe phir na milna
Arre chaahe phir na milna

Hat gaya aakhir bharam ka saaya
Ab samjha main, ab yaad aaya
Khwaab mein tumko aksar dekha
Khwaab mein tumko aksar dekha
Aaj mujassim saamne paaya
Deewane ka naam to poochho
Pyar se dekho, kaam to poochho
Chaahe phir na milna
Aji chaahe phir na milna

Yeh Paris ki shaam suhani
Pyar ki nagri, roop ki rani
Banke rahega ha!, koi afsana ha!
Banke rahega koi afsana
Chhid ke rahegi koi kahani

Deewane ka naam to poochho
Pyar se dekho, kaam to poochho
Chaahe phir na milna
Aji chaahe phir na milna x (2)