Daman Mein Daag Laga Baithe Lyrics - Dhool Ka Phool


Daman Mein Daag Laga Baithe Lyrics from Dhool Ka Phool is Hindi song sung by Mohammed Rafi. Daman Mein Daag Laga Baithe song lyrics are written by Sahir Ludhianvi, its music is given by Datta Naik. Dhool Ka Phool is a 1959 Hindi movie starring Rajendra Kumar, Mala Sinha and Nanda.

Daman Mein Daag Laga Baithe Lyrics - Dhool Ka Phool

Daman Mein Daag Laga Baithe Song Detail


Song: Daman Mein Daag Laga Baithe
Album: Dhool Ka Phool (1959)
Singer: Mohammed Rafi
Musician: Datta Naik
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Star Cast: Rajendra Kumar, Mala Sinha, Nanda etc.

Daman Mein Daag Laga Baithe Lyrics

Wafa ke naam pe kitne gunah hote hain
Yeh unse poochhe koyi jo tabah hote hain
Haaye ho

Daman mein daag laga baithe
Daman mein daag laga baithe
Hum pyar mein dhokha kha baithe
Hum pyar mein dhokha kha baithe
Daman mein daag laga baithe
Haaye haaye

Chhoti si bhool jawani ki

Chhoti si bhool jawani ki
Jo tumko yaad na aayegi
Us bhool ke taane dede kar
Duniya humko tadpayegi

Uthte hi nazar jhuk jayegi
Uthte hi nazar jhuk jayegi ho
Uthte hi nazar jhuk jayegi
Aaj aisi thokar kha baithe
Hum pyar mein dhokha kha baithe
Daman mein daag laga baithe
Haaye ho haaye

Chahat ke liye jo rasmon ko Chahat ke liye jo rasmon ko
Thukra ke ghuzarne wale the
Jo sath hi jeene wale the
Aur sath hi marne wale the

Tufaan ke hawale karke humein
Tufaan ke hawale karke humein ho
Tufaan ke hawale karke humein
Khud door kinaare ja baithe
Hum pyar mein dhokha kha baithe
Daman mein daag laga baithe
Haaye ho haaye

Lo aaj meri majboor wafa
Lo aaj meri majboor wafa
Badnaam kahani ban'ne lagi
Lo prem nishani paayi thi
Woh paap nishani ban'ne lagi

Duhkh deke humein jeevan bhar ka
Duhkh deke humein jeevan bhar ka ho
Duhkh deke humein jeevan bhar ka
Woh sukh ki sej saja baithe
Hum pyar mein dhokha kha baithe
Daman mein daag laga baithe
Haaye ho haaye