Chitthi Aayi Hai Lyrics - Naam

Chitthi Aayi Hai Lyrics from Naam is sung by Pankaj Udhas. Chitthi Aayi Hai song lyrics are written by Anand Bakshi while its music is given by Laxmikant and Pyarelal. Naam is a 1986 Hindi movie starring Kumar Gaurav, Poonam Dhillon and Sanjay Dutt.

Chitthi Aayi Hai Lyrics - Naam

Chitthi Aayi Hai Song Detail

Song: Chitthi Aayi Hai
Album: Naam (1986)
Singer: Pankaj Udhas
Musician: Laxmikant, Pyarelal
Lyricist: Anand Bakshi
Star Cast: Kumar Gaurav, Poonam Dhillon, Sanjay Dutt etc.

Chitthi Aayi Hai Lyrics

Chitthi aayi hai aayi hai chitthi aayi hai
Chitthi aayi hai aayi hai chitthi aayi hai
Chitthi aayi hai watan se chitthi aayi hai

Bade dinon ke baad
Hum bewatano ko yaad
Bade dinon ke baad
Hum bewatano ko yaad
Watan ki mitti aayi hai
Chitthi aayi hai aayi hai chitthi aayi hai
Chitthi aayi hai watan se chitthi aayi hai

Upar mera naam likha hai
Andar yeh paigam likha hai
Oh pardes ko jaane wale
Laut ke phir na aane wale
Saat samundar paar gaya tu
Humko zinda maar gaya tu
Khoon ke rishte tod gaya tu
Aankh mein aansu chhod gaya tu
Kam khaate hain, kam sote hain
Bohat zyada hum rote hain
Chitthi aayi hai
Chitthi aayi hai aayi hai chitthi aayi hai Chitthi aayi hai watan se chitthi aayi hai

Sooni ho gayi shehar ki galiyan
Kaante ban gayi baag ki kaliyan
Kehte hain savan ke jhoole
Bhool gaya tu hum nahi bhoole
Tere bin jab aayi Deewali
Deep nahi dil jale hain khaali
Tere bin jab aayi holi
Pichkaari se chhooti goli
Peepal soona, panghat soona
Ghar shamshaan ka bana namoona
Fasal kati aayi baisakhi
Tera aana reh gaya baaki
Chitthi aayi hai
Chitthi aayi hai aayi hai chitthi aayi hai
Chitthi aayi hai watan se chitthi aayi hai

Pehle jab tu khat likhta tha
Kaagaz mein chehra dikhta tha
Band hua yeh mel bhi ab to
Khatam hua yeh khel bhi ab to
Doli mein jab baithi behna
Rasta dekh rahe the naina
Main to baap hoon mera kya hai
Teri maan ka haal bura hai
Teri biwi karti hai seva
Soorat se lagti hain bewa
Toone paisa bohat kamaya
Is paise ne desh chhudaya
Des paraya chhod ke aaja
Panchhi pinjra tod ke aaja
Des paraya chhod ke aaja
Panchhi pinjra tod ke aaja
Aaja umar bohat hai chhoti
Apne ghar mein bhi hai roti