Chehra Chhupa Liya Hai Lyrics - Nikaah


Chehra Chhupa Liya Hai Lyrics from Nikaah is sung by Mahendra Kapoor, Asha Bhosle and Salma Agha. Chehra Chhupa Liya Hai song lyrics are written by Hasan Kamaal while its music is given by Ravi. Nikaah is a 1982 Hindi movie starring Raj Babbar, Deepak Parashar and Salma Agha.

Chehra Chhupa Liya Hai Lyrics - Nikaah

Chehra Chhupa Liya Hai Song Detail


Song: Chehra Chhupa Liya Hai
Album: Nikaah (1982)
Singer: Mahendra Kapoor, Asha Bhosle, Salma Agha
Musician: Ravi
Lyricist: Hasan Kamaal
Star Cast: Raj Babbar, Deepak Parashar, Salma Agha etc.

Chehra Chhupa Liya Hai Lyrics

Chehra chhupa liya hai
Kisi ne hijaab mein
Chehra chhupa liya hai
Kisi ne hijaab mein
Chehra chhupa liya hai
Kisi ne hijaab mein

Haan chehra chhupa liya hai
Kisi ne hijaab mein
Arre jee chahta hai aag
Laga doon nakaab mein

Jee chahta hai aag
Laga doon nakaab mein
Jee chahta hai aag
Laga doon nakaab mein

Bijli thi ek jo humne
Chhupa li nakaab mein
Bijli thi ek jo humne
Chhupa li nakaab mein
Arre lag jaati varna aag
Tumhare shabaab mein
Lag jaati varna aag
Tumhare shabaab mein Lag jaati varna aag
Tumhare shabaab mein

Hum husn ke parwane
Jalne se nahi darte
Hum husn ke parwane
Jalne se nahi darte
Anjaam-e-mohabbat ki
Parwah nahi karte
Anjaam-e-mohabbat ki
Parwah nahi karte

Ek baar hi dete hain
Dil apna haseeno ko
Ik baar hi marte hain
Sau baar nahi marte
Ik baar hi marte hain
Sau baar nahi marte

Parwane se pehle jali
Aur parwane ke sath jali
Woh to jala bas pal do pal ko
Shamma to saari raat jali

Ek parwana jala
Kis kadar shor macha
Ek parwana jala
Kis kadar shor macha
Shamma chup chaap jali
Lab pe shikwa na gila
Shamma chup chaap jali
Lab pe shikwa na gila

Kya hai jalne ka maza
Husn se poochho zara
Kya hai jalne ka maza
Husn se poochho zara

Kyunki parwane ko jal jaana
Humne hi sikhaya hai
Parwane ko jal jaana
Humne hi sikhaya hai
Woh tab hi jala humne
Jab khud ko jalaya hai
Woh tab hi jala humne
Jab khud ko jalaya hai

Aashiq ki jaan ishq mein
Jaane se peshtar
Aashiq ki jaan ishq mein
Jaane se peshtar
Arre khud husn doobta hai
Wafa ke Chenab mein
Khud husn doobta hai
Wafa ke Chenab mein

Chehra chhupa liya hai
Kisi ne hijaab mein
Jee chahta hai aag
Laga doon nakaab mein

Gar husn nahi hota
Yeh ishq kahan hota
Gar husn nahi hota
Yeh ishq kahan hota
Phir kis se wafa karte
Phir kis ka bayan hota
Phir kis se wafa karte
Phir kis ka bayan hota

Takraar se kya haasil
Kuchh bhi na hua hota
Takraar se kya haasil
Kuchh bhi na hua hota
Takraar se kya haasil
Kuchh bhi na hua hota
Gar tum na hasin hote
Gar main na jawan hota
Gar tum na hasin hote
Gar main na jawan hota

Jis roz se is husn ka
Deedaar kiya hai
Bas pyar kiya pyar kiya
Pyar kiya hai
Yeh jhooth hai ke tumne
Humein pyar kiya hai
Humne tumhein zulfon mein
Girafaar kiya hai

Aa jis roz se is husn ka
Deedaar kiya hai
Bas pyar kiya pyar kiya
Pyar kiya hai
Yeh jhooth hai ke tumne
Humein pyar kiya hai
Humne tumhein zulfon mein
Girafaar kiya hai

Tum husn ho hum ishq hain
Gar tum tum nahi to hum nahi
Hai baat sacchi bas yahi
Koyi kisi se kam nahi
Hai baat sacchi bas yahi
Koyi kisi se kam nahi

Ek nagma hai ek raag hai
Dono taraf ek aag hai
Tumse humein shikwa bhi hai
Phir bhi tumhi se pyar hai
Tum bin humein kab chain hai
Humko bhi yeh ikraar hai

Dekhein to hosh ghum ho
Na dekhein to hosh ghum
Yeh phans gayi hai jaan meri
Kis azaab mein
Yeh phans gayi hai jaan meri
Kis azaab mein
Chehra chhupa liya hai
Kisi ne hijaab mein

Bijli thi ek jo humne
Chhupa li nakaab mein
Lag jaati varna aag
Tumhare shabaab mein
Lag jaati varna aag
Tumhare shabaab mein

Chehra chhupa liya hai
Kisi ne hijaab mein
Lag jaati varna aag
Tumhare shabaab mein
Lag jaati varna aag
Tumhare shabaab mein