Fiza Bhi Hai Jawan Jawan Lyrics - Nikaah


Fiza Bhi Hai Jawan Jawan Lyrics from Nikaah is sung by Salma Agha. Fiza Bhi Hai Jawan Jawan song lyrics are written by Hasan Kamaal while its music is given by Ravi. Nikaah is a 1982 Hindi movie starring Raj Babbar, Deepak Parashar and Salma Agha.

Fiza Bhi Hai Jawan Jawan Lyrics - Nikaah

Fiza Bhi Hai Jawan Jawan Song Detail


Song: Fiza Bhi Hai Jawan Jawan
Album: Nikaah (1982)
Singer: Salma Agha
Musician: Ravi
Lyricist: Hasan Kamaal
Star Cast: Raj Babbar, Deepak Parashar, Salma Agha etc.

Fiza Bhi Hai Jawan Jawan Lyrics

Fiza bhi hai jawan jawan
Hawa bhi hai rawaan rawaan
Suna raha hai yeh sama
Suni suni si daastaan
Fiza bhi hai jawan jawan

Pukarte hain door se
Woh kaafile bahaar ke
Bikhar gaye hain rang se
Kisi ke intzaar ke

Lehar lehar ke honth par

Wafa ki hain kahaniyan
Suna raha hai yeh sama
Suni suni si daastaan
Fiza bhi hai jawan jawan

Bujhi magar bujhi nahi
Na jaane kaisi pyaas hai
Karaar dil se aaj bhi
Na door hai na paas hai

Yeh khel dhoop chhanv ka
Yeh kurbatein yeh dooriyan
Suna raha hai yeh sama
Suni suni si daastaan Fiza bhi hai jawan jawan

Har ek pal ko dhoondhta
Har ek pal chala gaya
Har ek pal firaaq ka
Har ek pal visaal ka

Har ek pal ghuzar gaya
Bana ke dil pe ik nishaan
Suna raha hai yeh sama
Suni suni si daastaan

Fiza bhi hai jawan jawan
Hawa bhi hai rawaan rawaan
Suna raha hai yeh sama
Suni suni si daastaan
Fiza bhi hai jawan jawan