Aamli Ki Taamli Lyrics - Prem Bandhan


Aamli Ki Taamli Lyrics from Prem Bandhan is Hindi song sung by Asha Bhosle, Manna Dey and music is given by Laxmikant Pyarelal. Aamli Ki Taamli song lyrics are written by Anand Bakshi. Prem Bandhan is a 1979 Hindi movie starring Rajesh Khanna, Rekha and Moushumi Chatterjee.

Aamli Ki Taamli Lyrics - Prem Bandhan

Aamli Ki Taamli Song Detail


Song: Aamli Ki Taamli
Album: Prem Bandhan (1979)
Singer: Asha Bhosle, Manna Dey
Musician: Laxmikant Pyarelal
Lyricist: Anand Bakshi
Star Cast: Rajesh Khanna, Rekha, Moushumi Chatterjee etc.

Aamli Ki Taamli Lyrics

Aamli ki taamli
Taamli ke gaanv mein
Saawli si chhanv mein
Shyamli ke paanv mein
Bichhu kaat jaata hai
To shor mach jaata hai

Aamli ki taamli
Taamli ke gaanv mein
Saawli si chhanv mein
Shyamli ke paanv mein

Bichhu kaat jaata hai
To shor mach jaata hai

Ib kya hoga
Ib kya hoga haaye Ram
Hosh na aaya aa gayi shaam
Log bhaag jaate hain
Vaid ko bulate hain

Vaid raj aate hain
Aur farmate hain
Tauba iske naam se
Mera nahi kaam yeh
Aag ka na paani ka Rog yeh jawani ka
Jise lag jaata hai
Use lag jaata hai

Aamli ki taamli
Taamli ke gaanv mein
Saawli si chhanv mein
Shyamli ke paanv mein
Bichhu kaat jaata hai
To shor mach jaata hai

Ib kya hoga haaye Ram
Ho gayi sabki neend haraam
Vaid chala jaata hai
Ek jogi aata hai

Hari Om Shankar
Kaanta lage na kankar

Shyamli ko dekh ke
Woh farmata hai
Jhooth ki kahaani hai
Jhooth ka fasana hai
Kaisa yeh zamana hai
Bichhu ka bahana hai
Meri aankhon ko to
Kuchh aur nazar aata hai

Shyamli ki taamli
Taamli ke gaanv mein
Saawli si chhanv mein
Shyamli ke paanv mein
Bichhu kaat jaata hai
To shor mach jaata hai
Aha ha aha

Ib kya hoga haaye Ram
Kis zulmi ka hai yeh kaam
Jogi chala jaata hai
Jadugar aata hai

Jaadu vaadu daal ke
Woh bhi haar jaata hai
Sangi sathi saare ji
Chinta ke maare ji
Ram ke sahare ji
Dard ke maare ji
Shyamli ke munh se
Koyi naam nikal jaata hai
Naam nikal jaata hai

Kisan Kisan Kisan

Ib kya hoga haaye Ram
Ab to ho gaye woh badnaam
Log jaan jaate hain
Pehchan jaate hain
Ek pardeshi ko
Dhoondh kar laate hain

Saajan aur sajni
Dono pakde jaate hain
Prem ki zanjeer mein
Dono jhakde jaate hain
Unko umar kaid ka
Hukum ho jaata hai
Unko umar kaid ka
Hukum ho jaata hai

Aamli ki taamli
Taamli ke gaanv mein
Saawli si chhanv mein
Kisi ke hi paanv mein
Bichhu kaat jaaye
Unka kya ho jaata hai