Aaiye Padhariye Lyrics - Geet Gaya Pattharon Ne




Aaiye Padhariye Lyrics from Geet Gaya Pattharon Ne is Hindi song in the voices of Asha Bhosle, Mahendra Kapoor. Aaiye Padhariye song lyrics are written by Vishwamitra Adil, its music is given by Ramlal Heerapanna. Geet Gaya Pattharon Ne is a 1964 Hindi movie starring Jeetendra, Rajshree and Nana Palsikar.

Aaiye Padhariye Lyrics

Aaiye padhariye aaiye padhariye
Aaiye padhariye aaiye padhariye

Yeh dekho Shiv aur Parvati ki shaadi
Arre jaise har ladke ki shaadi
Jaise har ladki ki shaadi
Jaise har ladki ki shaadi

Aayi baat samjh mein, aayi
Aaiye padhariye aaiye padhariye
Aaiye padhariye aaiye padhariye

Dekho ab kailash ke upar
Shiv or Parvati baithe hain
Aankhein pyaar bhare do pyale
Jinko tarsein duniya wale
Aayi baat samjh mein, aayi

Lekin ab yahan neeche dekho
Shiv ke yahan bhagat rawan ko
Jisne apne sheesh uthaya
Unche parwat ke aasan ko
Unche parwat ke aasan ko
Aayi baat samjh mein

Rawan yahan aur parwat par
Ram aur Sita par baithe the
Sita ne phir Ram ko dekha
Ram ne phir Sita ko dekha
Man hi man dono muskaye
Khush hokar Rawan ke sar par
Aashishon ke phool giraye
Aashishon ke phool giraye
Aayi baat samjh mein

Ram aur sita nahi gayak ji
Yeh to hai Shiv Parwati ji
Aayi baat samjh mein, aayi

Aaiye padhariye aaiye padhariye
Aaiye padhariye aaiye padhariye

Dekho roop yeh Parvati ka
Dusra naam hai jiska Durga
Jag ka kasht piya pal bhar mein
Ripu ko nasht kiya pal bhar mein
Shhh arre baap re
Aayi baat samjh mein, aayi

To aaiye padhariye aaiye padhariye
Aaiye padhariye aaiye padhariye

Par durga ka khauf dekh kar
Badhe shaant karne ko Shankar
Lage lubhane nartak bankar
Aayi baat samjh mein, aayi

To aaiye padhariye aaiye padhariye
Aaiye padhariye aaiye padhariye

Murakh dekho idhar yeh kya hai
Shiv ji ka yeh roop naya hai
Aundhi khopdi palkein bhaari
Samjha purush jo dekhi naari

Lakh hanso par yeh mat bhoolo
Shiv ne apne hi shakti ko
Jab naari ke roop mein dhala
Tum purushon ne hosh sambhala
Aayi baat samjh mein, aayi

To aaiye padhariye aaiye padhariye
Aaiye padhariye aaiye padhariye

Chup kyun ho gayi ab munh kholo
Bholenath ki jai jai bolo
Aaiye padhariye




Aaiye Padhariye Song Detail


Song: Aaiye Padhariye
Album: Geet Gaya Pattharon Ne (1964)
Singer: Asha Bhosle, Mahendra Kapoor
Musician: Ramlal Heerapanna
Lyricist: Vishwamitra Adil
Star Cast: Jeetendra, Rajshree, Nana Palsikar etc.