Mandve Tale Garib Ke Lyrics - Geet Gaya Pattharon Ne




Mandve Tale Garib Ke Lyrics from Geet Gaya Pattharon Ne is Hindi song sung by Chandru Atma. Mandve Tale Garib Ke song lyrics are written by Hasrat Jaipuri, its music is given by Ramlal Choudhry. Geet Gaya Pattharon Ne is a 1964 Hindi movie starring Jeetendra, Rajshree and Nana Palsikar.

Mandve Tale Garib Ke Lyrics

Ho sath agar pehlu mein
Ek maste shabab
Ik jaam ho aur hath mein
Sheron ki kitaab

Ik saaz ho aur saaz pe
Gaati ho haseena
Ban jaaye yeh veerana
Bahaaron ka jawab
Ban jaaye yeh veerana
Bahaaron ka jawab


Mandve tale garib ke
Do phool khil rahe hain
Mandve tale garib ke
Do phool khil rahe hain

Aye raat tu na jaana
Aye chand tu na jaana
Yeh naubahar chupke se dekho
Nazarein na tum lagana
Mandve tale garib ke
Do phool khil rahe hain

Mausam-e-ishq hai zara hosh sambhal
Haasil tujhe mehboob hai arman nikaal
Kuchh baat to kar le
Ke nahi kal ki khabar
Kya hai gham-e-duniya
Ise khaak mein daal
Kya hai gham-e-duniya
Ise khaak mein daal

Mandve tale garib ke
Do phool khil rahe hain
Mandve tale garib ke
Do phool khil rahe hain

Aye raat tu na jaana
Aye chand tu na jaana
Yeh naubahar chupke se dekho
Nazarein na tum lagana
Mandve tale garib ke
Do phool khil rahe hain
Mandve tale garib ke
Do phool khil rahe hain




Mandve Tale Garib Ke Song Detail


Song: Mandve Tale Garib Ke
Album: Geet Gaya Pattharon Ne (1964)
Singer: Chandru Atma
Musician: Ramlal Choudhry
Lyricist: Hasrat Jaipuri
Star Cast: Jeetendra, Rajshree, Nana Palsikar etc.