Zindagi Ke Safar Mein Lyrics - Aap Ki Kasam


Zindagi Ke Safar Mein Lyrics from Aap Ki Kasam: This is a very well sung song by Kishore Kumar with nicely composed music by R D Burman. Lyrics of Zindagi Ke Safar Mein are beautifully penned by Anand Bakshi. Aap Ki Kasam is a 1974 Hindi movie starring Rajesh Khanna, Mumtaz and Sanjeev Kumar.

Zindagi Ke Safar Mein Lyrics - Aap Ki Kasam

Zindagi Ke Safar Mein Song Detail


Song: Zindagi Ke Safar Mein
Album: Aap Ki Kasam (1974)
Singer: Kishore Kumar
Musician: R. D. Burman
Lyricist: Anand Bakshi
Star Cast: Rajesh Khanna, Mumtaz, Sanjeev Kumar etc.

Zindagi Ke Safar Mein Lyrics

Zindagi ke safar mein
Guzar jaate hain jo makaam
Woh phir nahi aate
Woh phir nahi aate x (2)

Phool khilte hain, log milte hain
Phool khilte hain, log milte hain magar
Patjhad mein jo phool murjha jaate hain
Woh baharon ke aane se khilte nahi
Kuchh log ek roz jo bichhad jaate hain
Woh hazaron ke aane se milte nahi

Umra bhar chaahe koyi
Pukara kare unaka naam
Woh phir nahi aate
Woh phir nahi aate

Ankh dhokha hai, kya bharosa hai
Ankh dhokha hai, kya bharosa hai suno
Doston shaq dosti ka dushman hai
Apne dil mein ise ghar banane na do
Kal tadapna pade yaad mein jinki
Rok lo rooth kar unko jaane na do

Baad mein pyar ke
Chaahe bhejo hazaron salam Woh phir nahi aate
Woh phir nahi aate

Subah aati hai, raat jaati hai
Subah aati hai, raat jaati hai yoon hi
Waqt chalta hi rehta hai rukta nahi
Ek pal mein yeh aage nikal jaata hai
Aadmi theek se dekh paata nahi
Aur parde pe manzar badal jaata hai

Ek baar chale jaate hain
Jo din-raat, subah-shaam
Woh woh phir nahi aate
Woh phir nahi aate
Zindagi ke safar mein
Guzar jaate hain jo makaam
Woh phir nahi aate
Woh phir nahi aate