Zara Nazron Se Kah Do Ji Lyrics - Bees Saal Baad


Zara Nazron Se Kah Do Ji Lyrics from Bees Saal Baad is sung by Hemant Kumar. Zara Nazron Se Kah Do Ji song lyrics are written by Shakeel Badayuni while its music is given by Hemant Kumar. Bees Saal Baad is a 1962 Hindi movie starring Biswajeet, Waheeda Rehman and Sajjan.

Zara Nazron Se Kah Do Ji Lyrics - Bees Saal Baad

Zara Nazron Se Kah Do Ji Song Detail


Song: Zara Nazron Se Kah Do Ji
Album: Bees Saal Baad (1962)
Singer: Hemant Kumar
Musician: Hemant Kumar
Lyricist: Shakeel Badayuni
Star Cast: Biswajeet, Waheeda Rehman, Sajjan etc.

Zara Nazron Se Kah Do Ji Lyrics

Zara nazron se kah do ji
Nishana chook na jaaye
Zara nazron se kah do ji
Nishana chook na jaaye
Zara nazron se kah do ji

Maza jab hai tumhari har ada
Qaatil hi kahalaye
Zara nazron se kah do ji
Nishana chook na jaaye
Zara nazron se kah do ji

Qaatil tumhein pukarun ke
Jaan-e-wafa kahun
Hairat mein pad gaya hoon
Ke main tumko kya kahun

Zamana hai tumhara
Zamana hai tumhara
Chahe jiski zindagi le lo
Agar mera kaha maano
To aise khel na khelo

Zamana hai tumhara
Chahe jiski zindagi le lo
Agar mera kaha maano To aise khel na khelo

Tumhari is shararat se
Na jaane kiski maut aaye
Zara nazron se kah do ji
Nishana chook na jaaye
Zara nazron se kah do ji

Haaye kitni masoom lag rahi ho tum
Tumko zaalim kahe woh jhootha hai

Yeh bholapan tumhara
Yeh bholapan tumhara
Yeh shararat aur yeh shokhi
Zaroorat kya tumhein
Talwaar ki teeron ki khajar ki

Yeh bholapan tumhara
Yeh shararat aur yeh shokhi
Zaroorat kya tumhein
Talwaar ki teeron ki khajar ki

Nazar bhar ke jise tum dekh lo
Woh khud hi mar jaaye
Zara nazron se kah do ji
Nishana chook na jaaye
Zara nazron se kah do ji

Hum pe kyon is kadar bigadti ho
Chhedne wale tumko aur bhi hain

Baharon par karo gussa
Ulajhti hain jo aankhon se
Hawaon par karo gussa
Jo takarati hain zulfon se

Baharon par karo gussa
Ulajhti hain jo aankhon se
Hawaon par karo gussa
Jo takarati hain zulfon se

Kahin aisa na ho
Koyi tumhara dil bhi le jaaye
Zara nazron se kah do ji
Nishana chook na jaaye
Zara nazron se kah do ji

Maza jab hai tumhari har ada
Qaatil hi kahalaye
Zara nazron se kah do ji
Nishana chook na jaaye
Zara nazron se kah do ji