Yeh Shama To Jali Roshni Ke Liye Lyrics - Aya Sawan Jhoom Ke


Yeh Shama To Jali Roshni Ke Liye Lyrics from Aya Sawan Jhoom Ke is Hindi song sung by Mohammed Rafi. Yeh Shama To Jali Roshni Ke Liye song lyrics are written by Anand Bakshi, its music is given by Laxmikant Pyarelal. Aya Sawan Jhoom Ke is a 1969 Hindi movie starring Dharmendra, Asha Parekh and Ravinder Kapoor.

Yeh Shama To Jali Roshni Ke Liye Lyrics - Aya Sawan Jhoom Ke

Yeh Shama To Jali Roshni Ke Liye Song Detail


Song: Yeh Shama To Jali Roshni Ke Liye
Album: Aya Sawan Jhoom Ke (1969)
Singer: Mohammed Rafi
Musician: Laxmikant Pyarelal
Lyricist: Anand Bakshi
Star Cast: Dharmendra, Asha Parekh, Ravinder Kapoor etc.

Yeh Shama To Jali Roshni Ke Liye Lyrics

Yeh shama to jali roshni ke liye
Is shama se kahin aag lag jaye to
Yeh shama kya kare
Yeh shama to jali roshni ke liye
Is shama se kahin aag lag jaye to
Yeh shama kya kare
Yeh hawa to chali saans le har koyi
Ghar kisi ka ujad jaye aandhi mein to
Yeh hawa kya kare

Chal ke purab se thandi hawa aa gayi

Chal ke purab se thandi hawa aa gayi
Uth ke parvat se kaali ghata chha gayi
Yeh ghata to uthi pyaas sabki bujhi
Aashiyan pe kisi ke giri bijliyan to
Yeh ghata kya kare
Yeh shama to jali roshni ke liye

Poochhta hoon main sabse koyi de jawab
Poochhta hoon main sabse koyi de jawab
Nakhuda ki bhala kya khata hai janab
Nakhuda le ke sath dil ki jaanib chala
Doob jaye safeena jo manjhdhaar mein to
Nakhuda kya kare Yeh shama to jali roshni ke liye

Woh jo uljhan si tere khayalon mein hai
Woh jo uljhan si tere khayalon mein hai
Woh ishara bhi mere sawalon mein hai
Yeh nigaah to mili dekhne ke liye
Par kahin yeh nazar dhokha kha jaye to
To teh nigah kya kare

Yeh shama to jali roshni ke liye
Is shama se kahin aag lag jaye to
Yeh shama kya kare